*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Hazrat Sawal Ye He Ki Imam Sahab Magrib Ki Namaz Padha Rahe Hai Or Surah Fatiha Ke Baad Abhi Ek Aayat Padhi Or Aage Bhul Gaye,
Phir Dubara Shuru'a Se Padha Phir Wahi Padh Kar Aage Ka Bhul Gaye Muqtadi Ne Luqma Diya Uske Baad Me Namaz Mukammal Hui..
Ab Ye Batayeñ Namaz Hui Ya Nahiñ Ya Sajda E Sahw Wajib Hoga Poora Mas'ala Batayeñ..
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Soorate Mas'oola Me Namaz Ho Gai Or Sajda E Sahw Ki Bhi Haajat Nahiñ Haañ Agar Bhula Or Teen Martaba سبحان اللہ Kahne Ki Miqdaar Chup Raha To Sajda E Shaw Wajib He...
Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Fazile Barailvy Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,
Imam Jab Namaz Me Ya Qiraat Me Galti Kare To Use Batana Luqma Dena Mutlaqan Jaaiz He Khwah Namaze Farz Ho Ya Wajib Ya Taraweeh Ya Nafl Or Usme Sajda E Sahw Ki Bhi Haajat Nahiñ Haañ Agar Bhula Or Teen Baar سبحان اللہ (Sub'hanAllah) Kahne Ki Der Khada Raha To Sajda E Sahw Aayega..
*📚(Fatawa Razviya, J-7, S-289, Raza Foundation Lahor)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻 Al-Jawab: Hazrat Mufti Dilshad Ahmad Zaiyai Amjadi Sahab Qibla*
*📬Khadim Sadrushshariyah Darul Ifta W Darul Uloom Raza E Mustafa, Bharuch Gujarat*
*🗓️23 Nov 2022, 28 Rabi Us Saani 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment