Mazar Par Salam Ke Waqt Nagara Ya Nobat Bajana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-*
Majar Sharif Par Jo Nagara Bajate Hai Wo Baja Saqte Hai?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Dhol Mutlaqan Lahw Laeeb Ke Taur Par Bajana Najaaizo Haram He, Or Bagair Kisi Zaroorat Ke Bhi Usko Bajana Haram...

Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Dhol Wagairah Jaisa Ki Muharram Me Umooman Bajate Hai Haram W Najaaiz He.
Or Hafize Millat Shah Abdul Azeez Sahab Muradabadi Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai Ki Murawajjah Taziya Daari Dhol Tasha Bajana Wagairah Yazeedioñ Ki Naql Or Razfziyoñ Ka Tareeqah He Ye Najaaiz W Haraam He.
*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-2, S-509)*

Albatta Kaare Khair, Neki Ka Kaam Wa'az Takreer Naato Manqabat Ke Jalse Wagairah Program Ho To Uske Ailan Ke Liye Bajane Me Harj Nahiñ.. 

Jaisa Ki Huzur Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Se Suwal Hua Ki Kaare Khair Waaz Wagairah Ke Liye Dhol Wagairah Se Khabar Karna Kesa Jiske Jawab Me Aap Taherir Farmate Hai,
Zahir Jawaz He Or Bazariya Ishtehar Ailan Ansab....

Durre Mukhtar Me He,
من ضرب النوبۃ للتفاخر للتنبیہ فلاباس بہ۔
Isi Lahw Me Se Ye Bhi He Ki Baari Par Daf Bajana Aapas Me Fakhr Jatane Ke Liye, Or Agar Aagah Or Hoshiyar Karne Ke Liye Ho To Koi Harj Nahiñ.
*📚(درمختار کتاب الحظروالاباحۃ مطبع مجتبائی دہلی ۲/ ۲۳۸)*

Durre Muntaqi Me He,
ینبغی ان یکون بوق الحمام یجوز کضرب النوبۃ
Munasib He Ki Humaam Me Humam Ka Bigul Bajaya Jaye Kyuñki Ye Jaaiz Baari Ke Daf Ki Tarah.
*📚(الدر المنتقی فی شرحالملتقی علی ہامش مجمع الانہر کتاب الکراہیۃ باب فی المتفرقات بیروت ۲/ ۵۵۳)*
Or Durre Mukhtar Me He,
وینبغی ان یکون طبل السحر فی رمضان لایقاظ النائمین للسحور کبوق الحمام تامل
Ye Bhi Munasib He Ki Sahri Karne Waloñ Ke Liye Sahri Ke Waqt Tabl Bajana, Sone Waloñ Ko Jagane Ke Liye, Humam Ka Bigul Bajane Ki Tarah Jaaiz He.
*📚(ردالمحتار کتاب الحظر والاباحۃ دار احیاء التراث العربی بیروت ۵/ ۲۲۳)*
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-24, Mas'ala-3)*

Ab Rahi Baat Ki Mazar Shareef Par Jo Nagara Ya Dhol Bajaya Jata He Usme Konsi Zaroorat He ? Logoñ Ko Ye Batane Ke Liye Ki Salam Ka Waqt Ho Chala He, To Ye Koi Deeni Zaroorat Nahiñ He Jiski Bina Par Jaaiz Hone Ki Ijazat Di Jaye... 
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️1 Nov 2022, 5 Rabi Us Saani 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts