Gause Aazam Or Dhobi Wale Waqeaa Ki Haqeeqat

 *🌹SAWAL:-🌹*
Asslamualikum Wa Rahmatulahi Wa Barkatuhu 
Sarkar Gaus E Pak Ke Dhobi Wala(Qabr Mein Fariston Se Kaha Main Gaus E Paak Ka Dhobi Hu) Waqia Sach Hai Ya Nhi ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Bakhshish Or Najaat Ka Daromadar Sirf Aamal Par Nahiñ Balki Saiyede Aalam ﷺ Ki Shafa'at Or Ahlullah Se Muhabbat Par Bhi He, Kai Aysi Riwayaat Hai Jin Ko Padhne Se Maloom Hota He Ki Saiyedna Gause Aazam Se Muhabbat Rakhne Waloñ Ki Zaroor Bakhshish Hogi.. Or Ye Baat Bhi Barhaq He Ki Auliya E Kiram, Buzurgane Deen Apne Murideen, Mu'ataqideen Ki Qabroñ Me Nakeerain Ke Sawal Ke Waqt Tashrif Late Hai Or Jawab Me Aasani Paida Karte Hai...

Lekin Ye Jo Dhobi Wala Waqeaa Bayan Kiya Jata He Ki, 
Huzur Gause Paak Ka Ek Dhobi Tha, Jab Uska Inteqal Hua To Qabr Me Farishtoñ Ne Usse Sawal Kiye Jaisa Ki Sab Se Karte Hai. Usne Har Sawal Ke Jawab Me Kaha Ki "Me Gause Paak Ka Dhobi Huñ" Or Use Bakhsh Diya Gaya... 

Is Riwayat Ke Muta'alliq Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahma Farmate Hai,
Ye Riwayat Be Asl He Uska Bayan Karna Durust Nahiñ Lihaza Jisne Bayan Kiya Vo Usse Ruju'a Kare Or Aaindah Is Riwayat Ko Bayan Na Karne Ka Ahad Kare Or Agar Ahad Na Kare To Is Riwayat Ko Kisi Mo'atamad Kitab Se Sabit Kare..
*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-2, S-411)*

Shareh Bukhari Allama Mufti Shariful Haq Amjadi Alaihir Rahma Farmate Hai,
Ye Hikayat Na Mene Kisi Kitab Me Dekhi Na Suni..

Ahaadees Me Tasreeh He Ki Agar Marne Wala Momin Hota He To Tinoñ Sawaloñ Ke Jawab De Deta He Or Agar Munafiq Hota He To Kahta He Haaye Haaye Me Nahiñ Janta.. Lihaza Ye Riwayat Hadees Ke Khilaf He Magar Ye Baat Haq He Ki Awliya E Kiram, A'imma E Kiram, Buzurgane Deen Apne Murideen Mu'ataqideen Or Muta'alliqeen Ki Qabroñ Me Nakeerain Ke Sawalat Ke Waqt Tashreef Late Hai Or Jawab Me Aasani Paida Karte Hai..
*📚(Fatawa Shareh Bukhari, J-2, S-125)*

Mufti Aazame Holland, Mufti Abdul Wajid Qadri Alaihir Rahma Farmate Hai,
Is Tarah Ki Riwayat Bayan Karne Me Tahqeeq Zaroori He Yuñ Hi Mub'ham Taur Par Bila Tauzeeh Bayan Karna Khilafe Ehtiyaat He Jisse Bachna Zaroori He.
*📚(Fatawa Europe, Kitabus Salaat, S-220)*
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓2 Nov 2022, 6 Rabi Us Saani 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts