Nabi Ahmad, Nabi Muhammad, Nabi Hasan Naam Rakhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat
Hazrat Bacho Ka Naam Nabi Ahmad, Nabi Muhammad, Nabi Hasan, Wagera Rakhna Kesa Hai.
Bahut Se Log Apne Bacho Ka Naam Ye Rakhte Hai. Unko Pukarte Bhi Hai Inhi Naam Se.??

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Nabi Ahamd, Nabi Muhammad, Nabi Hasan Wagairah Naam Rakhna Jaaiz Nahiñ Or Is Naam Se Pukarna Bhi Jaaiz Nahiñ.. Balki Gulam Nabi, Gulam Hasan, Gulam Ahmad Wagairah Naam Rakhe Jaye...

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Muhammad Nabi, Ahmad Nabi, Muhammad Rasool, Ahmad Rasool, Nabiuz Zaman Naam Rakhna Bhi Najaaiz He. Balki Baaz Naam Nabi Ullah Bhi Suna Gaya He, Gair Nabi Ko Nabi Kahna Hargiz Hargiz Jaaiz Nahiñ Ho Sakta.
*📚(Bahare Shariyat, H-16, Naam Rakhne Ka Bayan, Mas'ala-16)*

Or Farmate Hai,
Abde Musatafa, Abdun Nabi, Abdur Rasool, Naam Rakhna Jaaiz He, Ki Us Nisbat Ki Sharafat Maqsood He.
*📚(Bahare Shariyat, H-16, Naam Rakhne Ka Bayan, Mas'ala-10)*

Gulam Muhammad, Gulam Gulam Siddiqui, Gulam Farooq, Gulam Ali, Gulam Hasan, Gulam Husain Wagairah Asma Jinme Ambiya W Sahaba W Awliya Ke Naamoñ Ki Taraf Gulam Ki Izaafat Karke Naam Rakha Jaye Ye Jaaiz He..
*📚(Bahare Shariyat, H-16, Naam Rakhne Ka Bayan, Mas'ala-12)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓5 Nov 2022, 9 Rabi Us Saani 1444*
📲+9
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts