Chith Dalna Yaani Commety Ya Bc Rakhne Ka Hukm ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum  Hazrat Ek Suwal Hai Ye Jo Log Chittiya Dalte He Jise Cometty Ya BC Bhi Kahte He Iska Kya Sharae Hukm Hai Tafseel Se Jawab Inayat Farmaya

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Aam Taur Par Is Tarah Commety Daali Jati He Ki Har Mahina Kuchh Afraad Muqarrara Miqdaar Me Paise Jama'a Karwate Hai Or Kisi Ek Ka Naam Chitth Ke Zariya Ya Yuñ Hi Muntakhab Karke Jama'a Shuda Raqam Use De Dete Hai, Yuñ Har Maah Ya Muqarrara Waqt Me Ek Ek Karke Sabko Apni Jama'a Shuda Raqam Ek Sath Me Puri Mil Jati He...  Is Andaaz Par Rah Kar Ye Commety Ya BC Dalna Jaaiz W Durust He...

Albatta Kuchh Commetiyañ Aysi Bhi Hoti Hai Jin Me Boli Lagai Jaati He Or Jo Sab Se Kam Boli Lagata Jama'a Shuda Raqam Usko De Di Jaati He Baaqi Jo Raqam Bachti He Vo Digar Shirka'a Me Taqseem Ho Jati He,

Maslan Commety Ke 10 Afraad He Jo 10 Maah Tak 2000 - 2000 Rupya Jama'a Karte Hai, Jab 20000 Ki Raqam Jama'a Ho Jati He To Commety Ke Afraad Boli Lagate Hai, Kisi Ne Kaha 19000 Kisi Ne 18000 Kisi Ne 17500 Or Jisne Sabse Kam Boli Lagai Usko Vo Raqam De Di Jati He Maslan Zaid Ne 17500 Ki Boli Lagai Usko Vo Raqam De Di Gai Or Jo 2500 Rupya Bache Vo Baaqi Afraad Aapas Me Taqseem Kar Lete He... Ye Soorat Sood Ki He Jo Najaaizo Haraam He..

Jaisa Ki Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta Me Isi Tarah Ke Sawal Ke Jawab Me He,
Mazkoora Commety Ka Kaarobaar Sood Par Mustamil He, Jo Bilashuba Najaaiz W Sakht Haram He..

Allah Ta'ala Ka Irshad He,
وَأَحَلَّ اللَّهُ الْبَيْعَ وَحَرَّمَ الرِّبَادُونَ
Yaani Allah Ne Bee'a Ko Halal Farmaya Or Sood Ko Haram.
*📚(Surah Baqrah, Aayat-275)*

Or Hadeese Paak Me He,
لعَن رسول الله صلى الله عليه وسلم آكل الربا وموكله، وكاتبه وشاهديه وقال ہم سواء۔
*📚(Mishkat Shareef, S-244)*

Iski Wajah Commety Ka Tareeqa E Kaar He Ki Maslan 10 Aadmi Is Tarah Kaam Karte Hai Ki Har Maah Das Hazaar Rupye Jama'a Karte Hai Jab Ek Lakh Rupye Ho Jate Hai To Vo Log Uski Aapas Me Boli Lagate Hai Maslan Zaid Ne Kaha Navve Hazaar, Bakar Ne Kaha Assi Hazaar, Khalid Ne Kaha Pichattar Hazaar, To Pichattar Hazaar Par Boli Khatam Ho Gai, Khalid Ne Ek Lakh Me Se Pichattar Hazar Le Li Baaqi Pachchis Hazaar Ko Dhaai Dhaai Hazaar Sabne Baant Liya, Isi Tarah Dasoñ Aadmi Har Maah Karte He... Is Tarah Ka Muaamla Bilshubah Najaaiz He Ki Isme Qarz Le Kar Sood Lene Dene Ki Shart He.. Lihaza Aysi Commety Ka Karobar Karna Najaaiz W Haram He Or Usme Musalaman Ki Shirkat Najaaiz He.
*📚(Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta, J-2, S-272)*

Isi Tarah Kuchh Aysi Scheme Ya Commety Hoti He Jo Kuchh Rupya Rok Leti He Maslan 4 Log Milkar 5 Maah Tak Har Maah 2000 - 2000 Rupya Jama'a Karate He, Pahle Mahina Chithh Nikal Ne Wale Afraad Ko 8000 Rupya Milega, Magar Usko 5 Maah Tak 2000 Jama'a Karane He Yaani 10000, Or Jo Aakhir Me Chith Lega Usko 10000 Se Zyada Bhi Raqam Milegi Jab Ki Uski Jama'a Shuda Raqam 10000 Hogi... Lihaza Aysi Soorat Jisme Kuchh Paisa Roka Jata He Ye Bhi Najaaizo Haram Hoga...

Jaisa Ki Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta Me He,
Commety Ka 2000 Rupya Kaat Lena Neez Bache Huve Rupyo Ka Aapas Me Taqseem Kar Lena Jaaiz Nahiñ Wajah Ye He Ki Commety Ne Ye Rupya Tijarat Ke Liye Jiske Baais Ye Rupya Uske Zimma Qarz Huve Or Qarz Ko Mukammal Wapas Karna Farz He Or Kuchh Rok Lena اکل بالباطل He.. Jo Haram Ashad Haram He..

Irshade Baari Ta'ala He,
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا لَا تَأْكُلُوا أَمْوَالَكُم بَيْنَكُم بِالْبَاطِلِ 
Ay Imaan Waloñ Aapas Me Ek Dusre Ke Maal Naahaq Na Khao.
*📚(Surah Nisa, Aayat-29)*
*📚(Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta, J-2, S-275)*

Lihaza Aysi Commety Ya Bc Ya Chith Wagairah Rakhna Jisme Zaaid Raqam De Kar Kuchh Kam Raqam Wasool Ho Ye Sood He, Jo Najaaizo Haram He... Iske Jawaz Ki Yahi Soorat He Ki Jitni Raqam Jama'a Karai Jaaye Utni Hi Raqam Sabhi Hissedaroñ Ko Mile Na Kam Na Zyada.....
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓28 Nov 2022, 3 Jamadi Ul Awwal 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts