Neta Se Vote Ke Badle Masjid Qabrastan Ka Tameeri Kaam Karana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Aaj Kal Chunav ( Election) Ka Mahol Dekha Ja Raha He Ki Qaum Ke Kuchh Log Pure Qaum Ke Vote Dene Ke Badle Me Masjid Madarsa Qabrastan Ya Waqaf Ki Digar Jaghoñ Pe Kuchh Na Kuchh Kaam Karvate Hai Ya Uske Liye Paise Lete He.. To Kya Vote Ke Badle Me Kaam Karvana Sahih He ??

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Ummidvaar Ne Vote Ke Badle Me Na Sahi Apne Vord Or Apne Ilaqa Me Agar Aysi Ta'ameer Kardi Qabrastan  Wagairah Ki Diwar Wagairah Ya Masjid Wagairah Bana Di To Aysi Soorat Me Agar Vo Fund Government Ki Janib Se Diya Gaya Tha, Or Vo Usi Ko Musalmanoñ Ko De Raha He Ya Banva Ke De Raha He, To Jaaiz W Mustahsan He, 

Jaisa Ki Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta Me He,
Gair Muslim Ke Zariya Di Gai Raqam Agar Hukumat Ke Fund Se He To Usse Shadi Mahal Ta'ameer Ho Sakta He Or Usi Raqam Se Masjid Ki Milkiyat Wale Boseedah Makanoñ Ki Az Sare Naw Ta'ameer Bhi Ho Sakti He..

Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Muhaddise Barailvy Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai,
Khazana Wali Ki Milk Zaati Nahiñ Hota To Uske Lene Me Harj Nahiñ, Jabki Kisi Maslihate Sharaiyyah Ke Khilaf Na Ho.
*📚(Fatawa Razviya, J-6, S-460)*
Yaani Vo Raqam Awaam Ki He Jo Unko Mil Rahi He, Is Liye Use Le Kar Apni Qaumi, Milli , Rafaahi, Kaamoñ Me Kharch Kar Sakte Hai.
*📚(Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta, J-2, S-403)*

Lekin Agar Vo Vote Ke Badle Hi Me Bana Kar Deta He, Ki Vo Isi Soorat Me Bana Kar Dega Ki Aap Use Hi Vote Doge, Vo Vote Kharid Lega, Usi Ko Vote Dena Padega, Tab To Zahir He Ki Ye Ek Rishwat He Or Rishwat Mazhabe Islam Me Haram He...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️24 Nov 2022, 28 Rabi Us Saani 1444*

*_✅Al-Jawabus Sahih : Hazrat Allama Mufti Hashim Raza Misbahi._*
*📬Khadim Darul Ifta Ahle Sunnat W Jama'at, Khargone, MP (Sahibe Fatawa Simoga)*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts