*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat Ek Sawal Hai Aaj Ek Insan Mujhe Bol Raha Tha Ki Bad Janwar Ke Aage Ke Do Pair Paak Hote Hai Kya Yeh Sahi Baat Hai
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Ye Sakht Jahilana Qoul He Aur Deen Me Iftara, Uska Hukme Sharai Ye He Ki Bad Janwar Yaani Khinzir Najis Ul Ain He, Zabah E Sharai Se Bhi Paak Na Hoga..
Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Haram Janwar Zabahe Sharaee Se Zabah Kar Liya Gaya To Uska Gosht Paak Ho Gaya Agarche Khana Haram He Siwa Khinzir Ke Ki Vo Najisul Ayn He Kisi Tarah Paak Nahiñ Ho Sakta.
*📚(Bahare Shariyat, H-2, Najasatoñ Ke Muta'alliq Ahkam, Mas'ala-12)*
Lihaza Bad Janwar Yaani Khinzir Pure Ka Pura Najisul Ayn He...
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Masjide Hazrat Bilaal, Nadiyad Gujarat*
*🗓️11 Jan 2023, 18 Jamadil Aakhir 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment