Juramana Ka Paisa Masjid Me Lagana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Kya Farmate Hai Ulmaye Din Muftiyane Shara'a Matin Is Masle Me Hindah Ek Kuñwaari Ladki Hai Or Wo Hamela Ho Gai Jab Pet Zahir Hone Laga To Shor Sharaba Huaa Log Jab Hindah Se Daryaft Kiye Ki Ye Tere Pet Me Kiska Bachcha Hai To Hindah Ne Bataya Ki Ye Zaid Ka Bachcha Hai To Meeting Bethai Gai To Un Dono Par Jurmana Lagaya Gaya Us Time Aajse Lag Bhag 30 35 Saal Pahle 6000 Rupiya  Fir Kuchh Din Bad In Logun Ko Masjid Banane Shauk Jaga To Masjid Ki Bunyad Rakhne Ke Liye Usi Jumana Wala 6000 Ki Int Aai Or Usi Int Se Bunyad Rakhkha Gaya To Keya Is Surat Me Us Masjid Padna Jayez Hai ? Namaz Hogi Ki Nhi Jawab Enayat Farmayen Karam Hoga

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Taazir Bil Maal Yaani Khata Par Jurmana Lena Ye Jaaiz Nahi Blki Mansukh He...

Jaisa Ke Fatawa Rizwiyya Sharif Me He,
Awwal Ye Maal Haraam Tha Ki Jurmana Jo Panch Leta Hai Najaaiz He..
قال المصادرۃ بالمال منسوخۃ عند ناوان کانت فالی الامام دون العوام۔
Kyuñ Ki Maali Jurmana Hamare Nazdeek Mansookh He. Agar Ho Bhi To Sirf Imam Tak Jawaz He Awam Ko Jaaiz Nahiñ..
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-19, Mas'ala-265)*

Or Ek Jagah Farmate Hai,
Agar Vo Shakhs Apni Khushi Se Har Gair Haazri Ke Jurmana Me 100 Lote Ya So Rupye De To Bahut Achha He Or Hn Rupyoñ Ko Masjid Me Sarf Kiya Jaye Lekin Jabran Ek Lota Ya Ek Kodi Nahiñ Le Sakta.
فان المصادرۃ بالمال منسوخ والعمل بالمنسوخ حرام
Kyuñ Ki Maali Jurmana Mansookh He Or Mansookh Par Amal Karna Haraam He.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-5, Mas'ala-265)*

Lihaza Zina Ke Badle Maali Jurmana Lena Najaaizo Haram In Haraam Ke Rupyoñ Ka Masjid Me Lagana Bhi Jaaiz Nahiñ...

Sabse Bahetar Tha Ki Un Donoñ Ka Aapas Me Nikah Kar Diya Jata.. Panch Ne Jo Ye Maali Jurmana Liya Vo Qat'an Jaaiz Nahiñ.. Na Inka Istemal Zarooriyate Masjid Me Jaaiz...
*Aysa Hi 📚(Fatawa Faqihe Millat, J-2, S-99)Me He...*

Chuñki Sirf Itne Paise Se Hi Masjid Nahi Bani, Lihaza Namaz To Ho Jaegi... Magar Ayse Rupyo Ka Istemal Masjid Me Karna Jaaiz Nahi, Balki Jis Se Liya H Usko Wapis Lota De Wo Apni Khushi Se Masjid Me De Bataure Lillah To Jaaiz Hoga...
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Masjide Hazrat Bilaal, Nadiyad Gujarat*
*🗓️17 Jan 2023, 24 Jamadil Aakhir 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?

 *Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?* *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Ki Bargah Me Swal Hai Ki Qurbani Kis Din Krana Zyada Afzal Aur Bhtr Hai

Popular Posts