*🌹SAWAL:-🌹*
*Assalamualaikum Hazrat*
Sawal- Hazrat Agar Bakri Ka Haml Na Tahre To Uski Qurbani Kar Saktey Hai.?
Baaz Log Kah Rahe Kar Sakte Hai.
Hazrat Ap Islah Kijiye.
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Banjh Bakri Jisko Baccha Payda Na Hota Ho Uski Bhi Qurbani Jaaiz He.
Jaisa Ki Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai,
Baanjh Bakri Ki Qurbani Jaaiz He Ki Vo Khassi Ke Misl He Isi Liye Fuqha E Kiram Ne Use Qurbani Ke Janwaroñ Me Auyub Nahiñ Sumaar Farmaya He... Or Aysi Bakri Jo Ki Nar Bhi Na Ho Yaani Khunsa Ho Ki Jis Me Nar W Mada Donoñ Ki Alaamateñ Paai Jati Hai To Us Janwar Ki Qurbani Jaaiz Nahiñ..
*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-2, S-402)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Masjide Hazrat Bilaal, Nadiyad Gujarat*
*🗓️11 March 2023, 18 Shabanul Muazzam 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment