Khudka Satar Dekhne Se Wuzu Tutta He Ya Nahi ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat

Zaid Wazu Se Tha Aur Band Kamre Me Usne Pure Kapde Utar Kar Dusre Kapde Pahne Aur Namaz Ada Kar Liya Hazrat Kya Namaz Ho Jayegi

Ya Agar Khud Ka Satr Dekh Lene Se Wazu Toot Jayega.??

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Namaz Ho Jayegi... Awam Me Ye Jo Mash'hoor He Ki Satar Ka Hissa (Yaani Badan Ka Vo Hissa Jise Chhupana Zaroori He) Khul Jane Se Ya Us Par Apni Ya Dusre Ki Nazar Pad Jaane Se Wuzu Toot Jata He, Ye Bilkul Be Asl Or Galat He... Haañ Ye Zaroor He Ki Bagair Zaroorat Satar Khula Rakhna Mamnoo'a Or Dusre Ke Samne Kholna Najaaizo Haraam He...

Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai,
Awam Me Jo Mash'hoor He Ki Ghutna Ya Satar Khulne Ya Apna Ya Paraya Satar Dekhne Se Wuzu Jata Rahta He, Mahaz Be Asl Baat He. Haañ Wuzu Ke Aadab Se He Ki Naaf Se Zaano Ke Niche Tak Sab Satar Chhupa Ho Balki Istenja Ke Baad Fauran Hi Chhupa Lena Chahiye Ki Bagair Zaroorat Satar Khula Rahna Mana'a He Or Dusroñ Ke Samne Kholna Haram He.
*📚(Bahare Shariyat, H-2, Wuzu Todne Wali Cheezoñ Ka Bayan, Mas'ala-49)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓15 Jan 2023, 22 Jamadil Aakhir 1444*
📲+
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?

 *Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?* *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Ki Bargah Me Swal Hai Ki Qurbani Kis Din Krana Zyada Afzal Aur Bhtr Hai

Popular Posts