2 Baar Namaze Janaza Padhana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat Mera Ek Sawal Hai Ek Mayyat Ki Do Bar Janaze Ki Namaz Para Sakte He Alag Alag Jagiya

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Mazhabe Hanfi Ke Mutabiq Mayyat Par Namaze Janaza Ki Takraar Yaani Dubara Namaze Janaza Padhna Mutlaqan Najaaiz W Na Mashroo'a He... Magar Jab Ki Ajnabi Ne Wali Aqrab Ki Ijazat Ke Bagair Padhi To Wali Dubara Padh Sakta He, Or Agar Wali Aqrab Ne Namaze Janaza Padhli Ya Uski Ijazat Se Kisi Ne Padhli To Fir Uska Ae'aada Nahiñ...

Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Janaza Ki Jab Ek Baar Ho Chuki To Hamare Aulma E Kiram Ke Nazdik Uska Ae'aada Jaaiz Nahiñ Magar Ye Ki Sahibe Haq Yaani Wali E Mayyat Ke Be Izn Diye Aam Logoñ Se Kisi Ne Padha Di Or Wali Shareek Na Huva To Use Ae'aada Ka Ikhtiyar He Phir Bhi Jo Pahle Padh Chuke Ab Na Mileñ Ki Iski Takraar Mashroo'a Nahiñ.

Durre Mukhtar Me He,
Agar Namaze Janaza Wali Ke Alawa Kisi Ayse Shakhs Ne Padha Di Jisko Wali Par Muqaddam Hone Ka Haq Na Tha Or Wali Ne Uski Mutabe'at Na Ki To Wali Agar Chahe To Qabr Par Bhi Ae'aada Kar Sakta He Ye Ae'aada Uske Apne Haq Ki Wajah Se He Na Ki Isqaate Farz Ke Liye... Isi Wajah Se Ham Kahte Hai Ki Jisne Pahle Janaza Padh Liya Ho Vo Wali Ke Sath Ae'aada Na Kare Kyuñ Ki Janaza Ka Takraar Mashroo'a Nahiñ. Agar Janaza Kisi Ayse Shakhs Ne Padhaya Jisko Wali Par Haqqe Tadaddum Tha (Maslan Qaazi Ya Naaib Qaazi Ya Imaame Masjid) Ya Us Shakhs Ne Padha Diya Jisko Wali Par Haqqe Taqaddum Na Tha Magar Wali Ne Shirkat Karli To Phir Janaza Ka Ae'aada Nahiñ Kiya Ja Sakta Or Agar Wali Ne Apne Istehqaaq Ke Bamaujub Janaza Padhaya Baayeñ Taur Par Wahañ Or Koi Sahibe Haqqe Taqaddum Nahiñ Tha To Uske Baad Koi Dubara Janaza Nahiñ Padh Sakta.....
*📚(دُرمختار ، باب صلٰو ۃ الجنازۃ ، مطبوعہ مطبع مجتبائی دہلی، ۱/۱۲۳)*
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-6, Mas'ala-575)*

Or Farmate Hai,
Hamare Nazdik Mayyat Par Faqat Ek Dafaa Namaz Ada Ki Jayegi Dubara Nahiñ, Na Tanha , Na Jama'at Ke Sath, Kyuñ Ki Manqool He Ki Huzur  ﷺ Ne Janaza Padhaya Jab Farig Huve To Hazrat Umar Or Unke Sath Kuchh Log Aaye Ot Unhone Dubara Janaza Padhne Ka Irada Kiya Aap  ﷺ Ne Farmaya: Janaza Ki Namaz Lautaai Nahiñ Ja Sakti Albatta Mayyat Ke Liye Dua Or Istigfaar Karo, Ye Is Baab Me Nas He (Yahañ Tak) Ye Takraar Ke Adame Jawaz Par Daleel He.
*📚(بدائع الصنائع فصل فی صلوۃ الجنازہ مطبوعہ ایچ ایم سعید کمپنی کراچی ۱ /۳۱۱)*
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-7, Mas'ala-887)*

Mazeed Is Mas'ala Par Huzur Aala Hazrat Ka Risala
النھی الحاجز عن تکرارصَلاۃ الجنائِز(۱۳۱۵ھ)
(Namaze Janaza Ki Takraar Rokne Wali Mumane'at) Fatawa Razviya Shareef Mutarjim Ki Jild-9 Me Tafseel Maujud He....

Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️16 Jan 2023, 23 Jamadil Aakhir 1444*
📲+
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts