Nafl Roza Todne Par Kaffara Hoga Ya Nahi ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Aulma E Kiram Ki Bargah Me Sawal Arz Hs Ki Nafl Roza Todne Ka Kaffara Kya He Rahenumai Farmyeñ

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Nafl Roza Bhi Jaanbujh Kar Ya Bila Azre Sharai Todna Jaaiz Nahiñ.. Or Agar Kisi Ne Tod Diya To Uski Qaza Laizm He Uska Kaffara Nahiñ...

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Nafl Roza Qasdan Shuru'a Karne Se Lazim Ho Jata He Ki TodeGa To Qaza Wajib Hogi Or Ye Guman Karke Ki Uske Zimma Koi Roza He, Shuru'a Kiya Baad Ko Maloom Huva Ki Nahiñ He, Ab Agar Fauran Tod Diya To Kuchh Nahiñ Or Ye Maloom Karne Ke Baad Na Toda To Ab Nahiñ Tod Sakta, Todega To Qaza Wajib Hogi..
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Un Wajhoñ Ka Bayan Jin Se Roza Na Rakhne Ki Ijazat He, Mas'ala-27)*

Nafl Roza Qasdan Nahiñ Toda Balki Bila Ikhtiyar Toot Gaya, Maslan Asnaa E Roza Me Haiz Aa Gaya, Jab Bhi Qaza Wajib He.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Bayan Un Wajhoñ Ka Bayan Jin Se Roza Na Rakhne Ki Ijazat He, Mas'ala-28)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓11 March 2023, 18 Shabanul Muazzam 1444*
📲+9
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?

 *Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?* *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Ki Bargah Me Swal Hai Ki Qurbani Kis Din Krana Zyada Afzal Aur Bhtr Hai

Popular Posts