10 Saal Pahle Bank Me Fix Ki Hui Raqam Or Baad Me Bank Se Milne Wala Munafa Ki Zakat Kese Ada Kare ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Bhai Ek Sawal Hai

Zaid Ney 20000 Thousand Fix Deposite 2012 May Kiya Tha  Ab Usko 2023 May 40000 Thousand Mil Raha Hai Kya Us Par Bhi Zakat Deni Hogi Agar Deni Hogi To Kitni Deni Hogi Batayee ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Awwalan To Ye Baat Malhooz Rakhni Chahiye Ki Bank Ke Zariya Se Jo Munafa Diya Jata He, Malik Us Waqt Tak Uska Maalik Nahiñ Hota Jab Tak Ki Uspe Qabza Na Karleñ.. Sirf Adad Ka Notebook Wagairah Me Indraaj Ho Jana Uske Qabza Ke Liye Kaafi Nahiñ.. 

*📚Majlise Sharai Ke Faisle Jild Awwal* Par Ye Tahreer He Ki,
Bank Wagairah Ke Mazkoora Munaafe'a Jis Roz Qabze Me Aayeñ Or Khatedaar Sahibe Nisaab Ho To Nisaab Se Mulhiq Ho Jayeñge.. Or Nisaab Ke Hawlaane Hol Par Sabki Zakaat Wajib Hogi.. Warna Qadre Nisaab Tak Pahunchne Ke Din Se Ek Saal Pura Hone Par Zakat Wajib Hogi.. 

Or Agar Kisi Soorat Me Qadre Nisaab Ko Na Pahunchi To Zakat Wajib Na Hogi.. Yaani Jab 2023 Me Usko Zaaid Raqam 20000 Rupya Mili To Fir Usi Waqt Se Un 20000 Rupyo Par Zakaat Farz Hogi Jabki Vo Sahibe Nisaab Ho..

Ab Rahi Ye Baat Ki Usne 20000 Rupye Jo Fix Deposit Me Rakhe The Bank  Me Vo To Amaanat He Lekin Tanha 20000 Rupye Ki Raqam 2012 Se Le Kar 2023 Tak Kisi Bhi Saal Me Zakaat Ka Nisaab Mukammal Nahiñ Karti He Yaani Jo Zakaat Ka Nisaab He 653 Gram Chandi Ki Qeemat Us Tak 20000 Rupye 2012 Se 2023 Tak Nahiñ Pahunchte He... Lihaza Agar Uske Paas Sirf Yahi 20000 Rupye Hi The To Fir 2012 Se Lekar 2023 Tak Us Par Ek Bhi Rupya Zakat Nahiñ.. Kyuñki Vo Zakat Ka Nisaab Mukammal Nahiñ He... 

Haañ Agar Uske Paas Or Bhi Koi Sona Ya Chandi Wagairah Tha Or Ye Raqam Jo Bank Me Deposit Rakhi Thi Agar Usko Mila Kar Vo Saahibe Nisaab Ho Jata He To Fir Aysi Soorat Me 2012 Se Le Kar 2023 Tak Bit-tarteeb Uski Zakaat Farz Hogi.. Ab Vo 2023 Me Un 20000 Me Se 5000 Rupye Zakat Ada Karde..

Lihaza Har Saal To Us Par Zakaat Farz Thi Lekin Ada Karna Us Waqt Aulma E Kiram Ne Wajib Qaraar Diya Jabki Us Raqam Ka Khumus Hasil Ho Jaye, Lihaza Usne Agar Abhi Tak Zakaat Ada Nahiñ Ki To Fir Yak Musht 20000 Me Se Taqriban 5000 Rupya Zakaat Ada Kare InshaAllah Isse Uski Puri Zakat Ada Ho Jayega..

Or Ab 2023 Me Jo Bank Se 20000 Ka Munafa Mila To Agar Vo Sahibe Nisab He To Ab Voh 20000 Hazar Jo Usne Fix Kiye Huve The Usme Se 5000 Mines Kar De (Jo Zakaat Ada Kardi Jiska Zikr Upar Guzra) Ab Jo Use Total 40000 Hazar Mile Hai Usko Voh Sirf 35000 Hi Shumar Kare Aur Ab Bhi Voh Sahib E Nisab Hai To Ab 35000 Ko Milakar Zakat Ada Kare..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️1 Apr 2023, 9 Ramzanul Mubarak 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts