Hazrat Ameer Muawya Ke Kandhe Par Yazeed Ko Dekh Huzur ﷺ Ne Kaha Jannati Ki Kandhe Par Dozakhi Is Waqeaa Ki Haqeeqat Kya He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum
Hazrat Kya Ye Waqeaa Sahih He ?
Ek Baar Hazrat Muaawya Yazeed Ko Apne Kandhe Pe Bitha Ke Le Ja Rahe The Tab Kisi Ne Ya Huzur ﷺ Ne Kaha Ki Ye Kya Jannati Ke Kandhe Par Dozakhi Betha He.... 

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Is Ta'alluq Se Hazrat Allama Naeemuddun Muradabadi Alaihir Rahma Apni Mash'hoore Zamana Kitab *📚Sawaneh Karbala* Me Farmate Hai,
Awam Me Jo Mash'hoor He Ki Huzur  ﷺ Ne Dekha Ki Hazrat Ameer Muaawya Radiallahu Anhu Yazeed Ko Kandhe Par Liye Ja Rahe Hai To Huzur Ne Farmaya Jannati Jahannami Ko Liye Ja Rahe Hai Ye Sahih Nahiñ... Is Liye Ki Yazeed Huzur ﷺ Ke Wisaal Farmane Ke Taqriban 15 Saal Baad 25 Hijri Me Paida Hua..
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓️4 Apr 2023, 12 Ramzanul Mubarak 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?

 *Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?* *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Ki Bargah Me Swal Hai Ki Qurbani Kis Din Krana Zyada Afzal Aur Bhtr Hai

Popular Posts