Jahañ Sunni Masjid Na Ho Vahañ Kya Badmazhab Ke Pichhe Jumuah Padh Sakte He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Zaid Saudi Arab Me Shift Hua India Se Ab Wo Waha Namaz Kaisi Ada Kare Jumme Ki Waha Ahlesunnat Ki Masjid Nahi Hain Aur Usne Ahlesunnat Ke Mufti Se Pucha To Unhone Kaha Ki Koi Masjid Nahi To Tumhe Wahabiyo Ke Piche Namaz Padh Sakte Hain

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Wahabi Deobandi Wagairah Badmazhab Apne Aqaaide Kufriya Ki Bina Par Kafiro Murtad He.. Unki Namaz Namaz Nahiñ.. Unke Pichhe Kisi Qism Ki Namaz Nahiñ Ho Sakti Chahe Namaze Panjwaqta Ho Ya Tarawih Ya Namaze Janaza, Eidain Ya Jumuah... Unke Pichhe Namaz Mahaz Baatil He... Or Unke Kufr Par Matla'a Hone Ke Bawajood Unhe Qaabile Imamat Janana Bhi Kufr He... Lihaza Jahañ Sunni Imam Na Mile To Namaze Jumuah Bhi Un Badmazhab Ke Pichhe Nahiñ Parh Sakte Balki Zuhar Tanha Tanha Parhe... Or Agar Qudrat Rakhte Hoñ To Sunni Sahihul Aqeedah Saaleh Imam Muqarrar Karke Sharaaite Namaze Jumuah Ke Sath Jumuah Ada Kar Sakte He....

Jaisa Ki Isi Tarah Ke Sawal Ke Jawab Me Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Jab Soorat Aysi Ho To Musalmanoñ Par Farz He Ki Kisi Musalman Saaleh Imaamat Ko Apna Imam Muqarrar Kareñ Uske Pichhe Jumuah W Eidain Parhe, Jumuah Qaaim Karne Ke Liye Agar Koi Masjid Banayeñ To Izne Aam Muslimeen W Ishtehaar Ke Sath Kisi Maidan Khwah Makaan Me Parhe Or Agar Is Par Qudrat Na Ho Or Sab Masaajid Ke Imam Deobandi Ya Wahabi Ya Gair Muqallid Ya Nechri Ya Mirzaai Wagairahum Murtadeen Hai To Farz He Ki Zuhar Tanha Tanha Parhe Un Logoñ Ke Pichhe Namaz Baatil Mahaz He Jaise Kisi But Parast Ya Aarya Ke Pichhe, Ye Tarke Jumuah Na Hua Ki Vo Jo Parh Rahe Hai Lagw W Baatil Harkat He, Namaz Hi Nahiñ, Or Unki Iqteda Bawajhe Haraam Qataee He Balki Unke Aqaaid Par Matla'a Ho Kar Phir Bhi Unheñ Qaabile Imamat Jaane To Kafir Ho Jayega..
من شک فی کفرہ وعذابہ فقد کفر
(Jisne Uske Kufr Or Azaab Me Shak Kiya Usne Kufr Kiya.)

Haañ Agar Kahiñ Aysa Badmazhab Ho Jis Par Hukme Kufr Nahiñ Jaise Tafzeeliyah Or Sunni Ki Imamat Na Mil Sake To Uske Pichhe Jumuah W Eidain Parh Le.
*📚(Fatawa Razviya, J-8, S-440, Mas'ala-1357)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓10 Apr 2023, 18 Ramzanul Mubarak 1444*
📲+9
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts