Hamila Aurat Ko Sajda Karne Me Dushwari Ho To Kis Tarah Namaz Padhe ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat  Mera Sawa Hai 
Ki Jab Koi Hamila Namaaz Padhe To Wo Kis Tarike Se Padhe Jab Use Sajda Karte Waqt Pet Me Dard Ho Aor Wo Baith Kar Sajda Na Kar Paye To Kya Kisi Aor Tarike Se Sajda Kar Sakti Hai 
Jawab Inayat  Farma Dijiye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Agar Kisi Uzr Ki Wajah Se Peshani Zameen Par Nahiñ Rakh Sakte To Naak Par Sajda Kare Magar Naak Ki Nok Par Sajda Kiya To Nahi Chalega Balki Naak Ki Haddi Ko Zameen Par Lagaye.
Aur Ye Bhi Nahi Kar Sakta To Ishare Se Kare .
Lihaza Soorat E Masoula Me Hamal Wali Aurat Khade Ho Kar Ruku'a Sajda Nahiñ Kar Sakti To Beth Kar Ruku'a Sajda Kare Our Beth Kar Ruku'a Sajde K Liye Pura Nahiñ Jhuk Sakti To Ishare Se Ruku'a Sajda Kare Our Agar Beth Kar Bhi Nahi Padh Sakti To Let Kar Ishare Se Namaz Ada Kare Aur Iski Bhi Taqat Nahi To Us Par Se Namaz Saqit He.

Bahare Shariyat Me He,
Agar Kisi Uzr Ke Sabab Peshani Zameen Par Nahiñ Laga Sakta, To Sirf Naak Se Sajdah Kare Phir Faqat Naak Ki Nok Lagna Kaafi Nahiñ, Balki Naak Ki Haddi Zameen Par Lagna Zaroor He.

Rukhsarah Ya Thori Zameen Par Lagaane Se Sajdah Na Hoga Khwah Uzr Ke Sabab Ho Ha Bila Uzr, Agar Uzr Ho To Ishara Ka Hukm He.
*📚(Bahare Shariyat, H-3, Faraaize Namaaz, Mas'ala-33,34)*

Agar Mareez Bethne Par Bhi Qaadir Nahiñ To Let Kar Ishara Se Parhe, Khwah Dahini Ya Baayiñ Ka Karwat Par Let Kar Qibla Ko Muñh Kare Khwah Chat Let Kar Qibla Ko Paanw Kare Magar Paanw Na Phailaye, Ki Qibla Ko Paanw Phailana Makrooh He Balki Ghutne Khare Rakhe Or Sar Ke Niche Takiya Wagairah Rakh Kar Uncha Karle Ki Muñh Qibla Ko Ho Jaye Or Ye Soorat Yaani Chat Let Kar Parhna Afzal He.
*📚(Bahare Shariyat, H-4, Namaze Mareez Ka Bayan, Mas'ala-13)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Masjide Hazrat Bilaal, Nadiyad Gujarat*
*🗓️10 Apr 2023, 18 Ramzanul Mubarak 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts