*🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم ورحمته الله وبرکاته
Kisi Ko Humne 1000 Rupiye Diye Ab Woh Lauta Nahi Raha Hai Buht Koshish Kare Magr Nahi Deraha Hai Toh Kya Hum Usko Woh Paisa Sadka Ya Fitra Ki Niyyat Karke Usi Ko De Sakte Haiñ
Rehnumaai Farmaaeñ
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Is Tarah Zakat Ada Na Hogi, Ki Qarz Di Hui Raqam Ko Zakaat Me Mahsoob Karne Se Zakaat Ada Nahi Hoti... Ki Zakat Dene Me Maalik Banana Shart He Or Yahañ Par Ye Mafqood, Usne Jo Raqam Diya Tha Vo Bataure Qarz Diya Tha Jis Par Milkiyat Ab Bhi Qarz Dene Wale Hi Ki He..
Bahare Shariyat Me He,
Faqeer Par Qarz Tha Muaaf Kar Diya Or Ye Niyyat Ki K Falañ Par Jo Den He Ye Uski Zakaat He Ada Na Hui.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Zakat Ka Bayan, Mas'ala-72)*
Or Farmate Hai,
Faqeer Par Qarz He Us Qarz Ko Apne Maal Ki Zakat Me Dena Chahta He Yaani Ye Chahta He Ki Muaaf Kar De Or Vo Mere Maal Ki Zakaat Ho Jaye Ye Nahiñ Ho Sakta.. Albatta Ye Ho Sakta He Ki Use Zakaat Ka Maal De Or Apne Aate Huve Me Lele, Agar Vo Dene Se Inkaar Kare To Phir Hath Pakar Kar Chheen Sakta He Or Yuñ bhi Na Mile To Qaazi Ke Paas Muqaddama Pesh Kare Ki Uske Paas He Or Mera Nahiñ Deta.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Zakat Ka Bayan, Mas'ala 73)*
Or Ek Soorat Ye Bhi He Ki, Qarz Dene Wala Apni Zakaat Ki Raqam Zaid (Jise Qarz Diya Tha Us) Ko Dede To Ab Zakaat Ada Ho Gai Phir Vahi Raqam Usse Qarz Ki Adaygi Ke Baais Wapas Lele..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✅Al-Jawabus Sahih, Or Aysa hi Fatawa Razviya Mutarjim, J-10, Or shami Wagairah Me He.._*
*Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi, Darul Uloom Qadariyah Razviyah Petlad*
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓3 Apr 2023, 11 Ramzanul Mubarak 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment