*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat,
Hazrat Zaid Ki Ek Chhoti Si Shop Hai Zaid Ke Waledain Abhi Hayaat He(alhamdulillah)
Us Shop Se Zaid Ko Jitni Bhi Income Hoti Hai Wo Zaid Apne Waledain Ko De Deta Hai Us Income Pe Zaid Ka Koi Haq Nhi Hota Waledain Zakat Dete Hain
To Kya Hazrat Zaid Ko Bhi Zakat Deni Hogi.?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Shariyate Mutahhara Me Ek Maal Par Do Do Martaba Zakaat Ya Do Huqooq Muta'alliq Nahiñ Hote Hai... Agar Waqaee Me Zaid Apne Sare Paisoñ Ka Malik Apne Walidain Ko Bana Deta He, Unhe Supurd Kar Deta He, Hiba Kar Deta He... To Aysi Soorat Me Uske Walidain In Rupye Paisoñ Ke Maalik He Agar Vo Sahibe Nisab He Or Vo Zakaat Ada Karte Hai To Ye Kaafi Hoga, Fir Dubara Zaid Par Un Paiso Ki Zakaat Ada Karna Wajib Or Farz Na Hoga..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️4 Apr 2023, 12 Ramzanul Mubarak 1444**🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment