*🌹SAWAL:-🌹*
السلام عليكم ورحمه الله
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Isse Sagira Gunah Murad He..
Jaisa Ki Miraatul Manaajeeh Me He,
Riwayat He Hazrat Abu Huraira Se Farmate Hai Farmaya RasoolAllah ﷺ Ne Ki Panch Namazeñ Or Jumuah Se Jumuah Tak Or Ramzaan Se Ramzaan Tak Darmiyan Ke Gunah Mitaane Wali Hai.. Jab Kabeerah Gunahoñ Se Bacha Rahe. (Muslim)
Sharah:
Yaani Namaze Panjgana Rozana Ke Sageerah Gunah Ki Muaafi Ka Zariya He, Agar Koi In Namazoñ Ke Zariya Gunah Na Bakhshwa Saka To Namaze Jumuah Hafta Bhar Ke Gunahe Sageera Ka Kaffara He, Agar Koi Jumuah Ke Zariya Bhi Gunah Na Bakhshwa Saka Ki Use Achchi Tarah Ada Na Kiya To Ramzaan Saal Bhar Ke Gunahoñ Ka Kaffara He. Lihaza Is Hadees Par Ye Aiteraz Nahiñ Ki Jab Rozana Ke Gunah Panjgana Namazoñ Se Muaaf Ho Gaye To Jumuah Or Ramzaan Se Kon Se Gunah Muaaf Hoñge. Khayal Rahe Ki Gunah Kabeerah Jaise Kufro Shirk, Zana, Chori Wagairah Yuñ Hi Huqooqul Ibaad Bagair Taubah W Ada E Huqooq Muaaf Na Hote ..
Bakhshish Se Muraad Gunahe Sageera Ki Bakhshish He Warna Gunahe Kabeer Bagair Taubah Or Huqooqul Ibaad Bagair Ada Muaaf Nahiñ Hote..
*📚(Miraatul Manaajeeh, J-1, Hadees-529)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Masjide Hazrat Bilaal, Nadiyad Gujarat*
*🗓️4 Apr 2023, 12 Ramzanul Mubarak 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment