Saf Khali Ho Or Imam Ka Maherab Me Namaz Padhana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalam Alaikum,
Agar Masjid Me 1 ya 2 Saf Khali Ho Aur Imam Meharab Me Namaz Padaye To Kiya Namaz Hogi Ya Nahi

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Imam Ka Tanha Mehrab Ke Andar Khara Hona Makrooh He, Our Kuch Muqtadi Bhi Ho To Harj Nahiñ, Isi Tarah Muqtadiyoñ Par Masjid Tang Ho Tab Bhi Karahat Nahi... Our Imam Ke Qadam Bahar Ho Our Sajda Mehrab Me Ho To Bilkul Karahat Nahi Ke Eitebar Qadmo Ka He... 

Soorat E Mas'oola Me Namaz To Ho Jaaegi Magar Jab Pichhe Do Safe Khali He Our Uske Ba Wajud Imam Pura Mehrab Me Khada Rahe To Namaz To Ho Jaaegi Magar Karahat He... Our Imam Ke Qadam Bahar Ho To Karahat Bhi Nahiñ... Lihaza Bila Wajah Imam Ke Mehrab Ke Andar Pure Khade Rahna Nahiñ Chahiye.. 

Fatawa Razwiyya Me Durre Mukhtar Ke Hawale Se He,
کرہ قیام الامام فی المحراب لاسجودہ فیہ وقد ماہ خارجہ لان العبرۃ للقدم
Imam Ka Maherab Me Khada Hona Makrooh He, Agar Qadam Bahar Hoñ Or Sajdah Maherab Me Ho To Ye Makrooh Nahiñ Kyuñ Ki Aitebar Qadmoñ Ka He.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-6, Mas'ala-397)*

Or Bahare Shariyat Me He,
Imam Ka Tanha Maherab Me Khara Hona Makrooh He Or Agar Bahar Khara Huva Sajda Maherab Me Kiya Ya Vo Tanha Na Ho Balki Uske Sath Kuchh Muqtadi Bhi Maherab Ke Andar Hoñ To Harj Nahiñ.. Yuñhi Agar Muqtadiyoñ Par Masjid Tang Ho To Bhi Maherab Me Khara Hona Makrooh Nahiñ.
*📚(Bahare Shariyat, H-3, Makroohat Ka Bayan, Mas'ala-66)*

LihazaMasjid Me Pichhe Do Saf Khali He To Imam Pura (Yaani Qadmoñ Ke Sath) Mehrab Me Na Khada Rahe Ke Ye Makrooh He, Our Qadam Bahar Ho To Karahat Bhi Nahi. Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Masjide Hazrat Bilaal, Nadiyad Gujarat*
*🗓️4 Apr 2023, 12 Ramzanul Mubarak 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?

 *Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?* *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Ki Bargah Me Swal Hai Ki Qurbani Kis Din Krana Zyada Afzal Aur Bhtr Hai

Popular Posts