Shadi Ke Liye Zakat Fitra Ki Raqam Maangna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم ورحمت اللہ
Shadi Ke Liye Zakat, Fitre,sadqa Ki Raqam Maangna Kaisa... ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Maangna Baharhaal Bila Zaroorate Sharaiyah W Haajat Ke Najaaizo Haram He..

Ahaadise Nabwiya Me Iski Sakht Waeed Warid Hui Jisko Tafseel Ke Sath Huzur Sadrushshariyah Badrut Tariqah Mufti Amjad Ali Aazmi Alaihir Rahmato Ridwan Ne Bahare Shariyat Me Bayan Farmaya He,
Ek Hadees Shareef Me Allah Ke Rasool ﷺ Ne Ye Irshad Farmaya Ki Jo Shakhs Bila Hajat Logoñ Se Sawal Karta He To Goya Ki Vo Apne Hathoñ Me Angara Leta He..

Or Bhi Bahut Sari Waeede Is Ta'alluq Se Warid Hui... Aap *📚Bahare Shariyat Hissa-5, Zakat Ka Bayan* Ka Muta'ala Kare..

Lekin Agar Koi Bagair Maange Zakat Ka Paisa De Or Vo Ladki Jiski Shadi He Ya Uske Walidain Agar Vo Sahibe Nisab Nahiñ, Muatahiqqe Zakat He, To Un Logoñ Ke Liye Uska Lena Jaaiz W Durust Hoga.. Or Usse Vo Shadi Biyah Bhi Kar Sakte Hai..
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️27 March 2023, 4 Ramzanul Mubarak 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?

 *Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?* *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Ki Bargah Me Swal Hai Ki Qurbani Kis Din Krana Zyada Afzal Aur Bhtr Hai

Popular Posts