Tahajjud Ka Waqt Kab Se Kab Tak Rahta He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Tahajjud Ka Waqt Kab Shuru Hota Hai Or Kab Khatam Hota Hai 
Jawab Inayat Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Isha Ki Farz Namaz Parh Kar So Kar Uthe Tahajjud Ka Waqt He Or Ye Tulu E Fajr Tak He..

Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai,
Isha Ke Farz Parh Kar Aadmi So Rahe Phir Us Waqt Se Subah Saadiq Ke Qareeb Tak Jis Waqt Aankh Khule Do Raka'at Nafl Subah Tulu'a Hone Se Pahle Parhle Tahajjud Ho Gaya.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-7, Mas'ala-1050)*

Or Fatawa Amjadiya Me He,
Namaze Isha Parh Kar Sone Ke Baad Jab Uthe Tahajjud Ka Waqt He, Or Ye Waqt Tulu E Fajr Tak He. Or Bahetar Waqt Baad Nisf Shab He. Or Agar Soya Na Ho To Tahajjud Nahiñ, Agarche Jo Nafl Parhe Jaayeñ, Salaatul Lail Unheñ Shamil Ki Salaatul Lail Tahajjud Se Aam He..
*📚(Fatawa Amjadiya, J-1, S-243)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓2 Apr 2023, 10 Ramzanul Mubarak 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?

 *Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?* *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Ki Bargah Me Swal Hai Ki Qurbani Kis Din Krana Zyada Afzal Aur Bhtr Hai

Popular Posts