Bakar Ne Tahband Pahanna Huzur Ki Sunnat Nahi Ho Sakti Isme Behayai Hoti He ? Bakar Par Kya Hukm he ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
الســـلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ
Ek Sawal Arz Hai Ki Zaid Kehta Hai Tahbond Pahan Na Huzoor Ki Sunnat Hai To Isi Baat Pe Bakar Kahta Hai Ki Ye Be Hayai Wala Libas Hai Aur Aise Be Haya Sunnat Huzoor Ki Nahi Ho Sakti To Is Bat Par Bakar Ke Liye Kya Hukm Jawab De Kar Shukriya Ka Mauka De

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Bakar Ya To Iske Bare Me Ilm Nahiñ Rakhta Ya Usne Jo Tahband Dekhe He Vo South Waloñ Ke Jo Unche Charha Dete He, Vo Usi Ko Tahband Samajhta He... Usne Is La-ilmi Ki Wajah Se Ye Baat Kahi, Lihaza Usko Chahiye Ki Ilm Hasil Kare Or Ma'aloom Hona Chahiye Ki Tahband Bandhna Aaqa E Kareem ﷺ Ki Sunnat He, 

Jaisa Ki Hadeese Paak Me He,
عن عائشة، قالت: دخل علي رسول الله صلى الله عليه وسلم بيتي في إزار ورداء فرفع يديه فقال رواه إسحاق بن راهويه في مسنده
Aaisha Siddiqua Radiallahu Anha Farmati Hai Ki Huzur ﷺ Tahband Aur Chadar Mubarak Me Mere Ghar Tashreef Laye Aur Hath Utha Kar Yuñ Kaha....

Lekin Itna Zaroor Jaan Leñ Ki Aaqa E Kareem ﷺ Ka Tahband Mubaraka Is Tarah Se Hota Tha Ki Kabhi Bhi Usse Aa'aza E Satr Khulte Nahiñ The..

Wallahu Ta'ala Aa'alam
*🎙️Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Juned Raza Azhari Sahab Qibla*
*_📬Fazile Jame'a Azhar Misr, Nadiyad Gujarat_*
*🗓️9 June 2023, 19 Zul Qa'ada 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts