Kya RasoolAllah ﷺ Hame Naam Ke Sath Jante He ? Rasool Ka Ilme Gayb Badmazhab Ko Jawab

*🌹SAWAL:-🌹*
Kuch Wahabi Kahte Hai Ki Kya Rasool Allah ﷺ Hamey Jante Hain Aisa Kaise Ho Skta Hai Bhai Ispe Jawab Dena Hai Ap Inayat Frmay Daleel Se With Detail

Kya wo hmko hmare maa baap sath jante he، ham jb musibat me hote unko pukare wo jante sunte hai wo kahte ye sirf Allah ki shan hai

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Huzure Aqdas ﷺ Bila Shaqqo Subah Hame Jante Pahechante Hai, Unhe Har Shay Ka Allah Ta'ala Ne Ilm Ata Kiya He... Or Huzur ﷺ Hamari Imdaad Bhi Farmate Hai, Yahi Aqeedah Hame Qur'aan Or Ahaadise Kareema Or Muhaddiseen Se Milta He... 

Chunanche Qur'aane Paak Me Rab Tabarak W Ta'ala Irshad Farmata He,
وَ  مَا  كَانَ  اللّٰهُ  لِیُطْلِعَكُمْ  عَلَى  الْغَیْبِ  وَ  لٰـكِنَّ  اللّٰهَ  یَجْتَبِیْ  مِنْ  رُّسُلِهٖ  مَنْ  یَّشَآءُ   ۪-  فَاٰمِنُوْا  بِاللّٰهِ  وَ  رُسُلِهٖۚ-وَ  اِنْ  تُؤْمِنُوْا  وَ  تَتَّقُوْا  فَلَكُمْ  اَجْرٌ  عَظِیْمٌ.
Tarjama: Or (Ay Aam Logo) Allah Tumhe Gaib Par Matla'a Nahiñ Karta Albatta Allah Apne Rasooloñ Ko Muntakhab Farma Leta He, Jinheñ Pasand Farmata He To Tum Allah Or Uske Rasooloñ Par Imaan Laao Or Agar Tum Imaan Laao Or Mutaqqi Bano To Tumhare Liye Bara Ajr He.
*📚(Surah Aale Imran, Aayat-179)*

Is Aayate Karima Ka Shane Nuzool Kuchh Is Tarah He Ki,
Tajdare Risalat ﷺ Ne Farmaya Ki, Meri Ummat Ki Pedaish Se Pahle Jab Meri Ummat Mitti Ki Shakl Me Thi Us Waqt Vo Mere Samne Apni Soortoñ Me Pesh Ki Gai Jaisa Ki Hazrat Aadam Alaihis Salam Par Pesh Ki Gai Or Mujhe Ilm Diya Gaya Ki Kon Mujh Par Imaan Layega Or Kon Kufr Karega.. Ye Khabar Jab Munafiqeen Ko Pahunchi To Unhoñ Ne Istihza Ke Taur Par Kaha Ki Muhammad ﷺ Ka Guman He Ki Vo Ye Jante Hai Ki Jo Log Abhi Paida Bhi Nahiñ Huve Unme Se Kon Un Par Iman Layega Or Kon Kufr Karega, Jabki Ham Unke Sath Rahte Hai Or Vo Hameñ Pahchante Nahiñ..

Is Par Huzur Saiyedul Mursaleen ﷺ Mimbar Par Khare Huve Or Allah Ki Hamd W Sana Ke Baad Farmaya, 
"in Logoñ Ka Kya Haal He Jo Mere Ilm Me Ta'an (Aitraaz) Karte Hai, 
: لَا تَسْألُونِي عَن شَيءٍ فِيما بَينَكُم وَبَينَ السَّاعَةِ اِلّا نَبَّاْ تُكُم بِهٖ
Yaani Aaj Se Qayamat Tak Jo Kuchh Hone Wala He Usme Se Koi Cheez Aysi Nahiñ He Jiska Tum Mujhse Sawal Karo Or Me Tumheñ Uski Khabar Na De Dun..

Hazrat Saiyeduna Abdullah Bin Huzafa Sahmi رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُ Ne Khare Ho Kar Kaha:
مَنْ اَبِيْ يَا رَسُولَ اللّٰه؟
Yaani Ya Rasoolallah ﷺ ! Mera Walid Kon He? Irshad Farmaya: Huzafa..

Phir Hazrat Umar رَضِیَ اللہُ تَعَالٰی عَنْہُ Ne Khare Ho Kar Arz Ki Ya Rasoolallah ﷺ Ham Allah Ke Rab Hone, Islam Ke Deen Hone, Qur'an Ke Imam W Peshwa Hone Or Aap ﷺ Ke Nabi Hone Par Raazi Huve, Allah Paak Aapke Darjaat Baland Farmaye Hameñ Muaaf Farma Dijye.. Nabi E Kareem ﷺ Ne Do Martaba Farmaya: 
فَهَلْ اَنْتُمْ مُّنْتَهُوْنَ
To Kya Tum Baaz Aaye ? Phir Mimbar Se Niche Tashreef Le Aaye Is Par Allah Ta'ala Ne Ye Aayat Naazil Farmai.
*📚(Khazin, Surah Aale Imran, Tahat Aayat-179, J-1, S-328)*
Isi Tarah Ki Hadees 
*📚(بخاری، کتاب العلم، باب الغضب فی الموعظۃ والتعلیم۔۔۔ الخ، ۱ / ۵۱، الحدیث:۹۲)*
Me Bhi Mazkoor He...

Is Aayate Kareema Ke Shane Nuzul Or Is Tarah Ki Kai Ahadise Kareema Se Wazeh He Ki Allah Ne Huzur ﷺ Ko Qayamat Tak Hone Wali Har Shay Ka Ilm Ata Kiya Kon Imaan Layega Or Kon Nahiñ... To Isse Yaqeeni He Ki Huzur ﷺ Beshak Hame Jante Pahechante Hai... Or Huzur ﷺ Ke Ilme Gayb Ka Inkar Karne Wale Munafiqeen Me Se He Jo Ki Huzur ﷺ Ke Zamane Me Bhi The... Or Aap ﷺ Ke Ilme Gayb Par Imaan Lane Wale Sahaba E Kiram Ki Jama'at Me Se He....

Or Ek Aayate Kareema Me Rab Tabarak W Ta'ala Irshad Farmata He,
وَ عَلَّمَكَ مَا لَمْ تَكُنْ تَعْلَمُؕ-وَ كَانَ فَضْلُ اللّٰهِ عَلَیْكَ عَظِیْمًا
Or Tumheñ Sikha Diya Jo Kuchh Tum Na Jante The Or Allah Tum Par Bada Fazl He.
*📚(Surah Nisa, Aayat-113)*

Is Par Ijma'a He Ki Allah Ke Diye Se Ambiya E Kiram Ko Kaseer W Waafir Gayboñ Ka Ilm He Ye Bhi Zaroorite Deen Se He Jo Iska Munkar Ho Kafir He Ki Sare Se Nabuwwat Ka Hi Munkar He.

Or Is Par Bhi Ijma'a He Ki Is Fazle Jaleel Me Muhammad Mustafa ﷺ Ka Hissa Tamam Ambiya W Tamam Jahan Se Atamm W Aazam He,.. Allah Ki Ata Se Habeebe Kareem ﷺ Ko Itne Gayboñ Ka Ilm He Jinka Shumar Allah Hi Janta He.
*📚(فتاوی رضویہ، ۲۹ / ۴۵۰-۴۵۱، ملخصاً)*

Yahañ مَا لَمْ تَكُنْ تَعْلَمُ Me Vo Sab Kuchh Dakhil He Jo Aap Nahiñ Jante,  Moatabar Tafaasir Me Iski Sarahat Maujud He, Chunanche Chand Darj Zail He,
1)… تفسیر البحر المحیط، النساء، تحت الایۃ: ۱۱۳،۳ / ۳۶۲ 
(2)…تفسیر طبری، النساء، تحت الایۃ: ۱۱۳، ۴ / ۲۷۵، 
(3)…نظم الدرر ، النساء، تحت الایۃ: ۱۱۳،۲ / ۳۱۷،
(4)… زاد المسیر فی علم التفسیر، النساء، تحت الایۃ: ۱۱۳، ص۳۲۴، 
(5)…روح المعانی، النساء، تحت الایۃ: ۱۱۳، ۳ / ۱۸۷

Is Aayat Se Saaf Wazeh Ki Huzur ﷺ Ko Allah Ta'ala Ne Vo Sab Kuchh Sikha Diya Jo Aap Nahiñ Jante The ... Jab Jo Nahiñ Jante The Sikha Diya To Ab Kuchh Unse Poshida Raha Hi Na... Lihaza Huzur ﷺ Ko Allah Ne Har Shay Ka Ilm Ata Kiya Or Aap ﷺ Hameñ Jante Pahechante Or Hamari Imdaad Bhi Farmate Hai...

Iske Alawa abhi Kai Qur'ani Aayat Or Ahaadise Kareema Or Muhaddiseen Ke Aqwaal se Huzur ﷺ Ka Allah Ki Ata Se Ilme Gayb Sabit He....
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️10 June 2023, 10 Zul Qa'ada 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts