*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Kya Cryptocurrency Se Paisa Kamana Halal or Jaiza Hai Ya Na Zaij O Haram Hai???
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Crypto Currency, Bit Coin, Onecoine Ya Is Jesi Online Currency Ya Virtual Currency Ka Karobar Ya Kharido Farokht Ya Uska Lein Den Karna Jaaiz Nahiñ... Is Liye Ki Ye Ek Farzi Currency He, Jo Sirf Internet Tak Mahdood He, Iska Khaarij Me Koi Wujood Nahiñ Or Dunya Ki Aksar Hukumateñ Bataure Currency Ise Tasleem Bhi Nahiñ Karti, Falihaza Is Par Na To Maal Ki Sharai Istelaahi Ta'areef Sadiq Aati He Na Hi Ise Saman Kaha Ja Sakta He.. Or Isme Kai Soorte Qamaar Yaani Juaa Ki Bhi He Jo Najaaizo Haram He... Iske Jawaz Ki Koi Soorat Nahiñ...
Allama Zain Ibne Najeem Misri Hanfi Muwaffa 970 H Farmate Hai,
"المال اسم لغيرالآدمى خلق لمصالح الادمى وأمكن احرازہ والتصرف فيه على وجه الاختيار "
Yaani Maal Aadmi Ke Alawa Us Cheez Ka Naam He Jis Ka Wujood Aadmi Ke Masaaleh Ke Liye Ho Use Jama'a Rakhna Or Usme Tasarruf Karna Ikhtiyari Taur Par Mumkin Ho..
*📚(البحر الرائق ، کتاب البیع ، تحت قولہ:ھومبادلۃالمال بالمال بالتراضی ، ۵/۲۷۷ ، مطبوعۃ: شرکۃعلاؤالدین بیروت)*
Or Saman Ke Bare Me He,
*"وأما في الاصطلاح فالثمن ، ما يكون بدلا للمبيع ويتعين في الذمة، ویطلق الأثمان أيضا على الدراهم والدنانير"*
Yaani Istelaah Me Saman Vo He Jo Mubee'a Ka Badal Ho Or Zimma Me Muta'ayyin Ho, Dirham W Dinaar Par Bhi Iska Itlaaq Hota He.
*(الموسوعۃالفقھیۃ،حرف الثاء ، ثمن ، ۱۵/۲۵ )*
Or Iske Liye Shart He Ki Vo Maal Ho, Mushtari Ki Milkiyat Me Ho, مقدورالتسلیم ، معلوم القدر والوصف ہو Ho.
Chunanche موسوعہ فقہیہ Me He,
*"اتفق الفقهاء على وجوب تسمية الثمن في عقد البيـع، وأن يكون مالا ، ومملوكـا للمشتري ، ومقدور التسليم، ومعلوم القـدر والوصف،"*
Yaani Aqad Bee'a Me Saman Ke Taqreeri Ke Wujoob Par Fuqha Ka Ittefaq He Or Ye Ki Vo Maal Ho, Mushtari Ka Mamlook Ho, مقدورالتسلیم ہو ، معلوم القدر والوصف ہو ،ho...
*(الموسوعۃالفقھیۃ ، حرف الثاء ، ۱۵/۲۶)*
Ye Sari Sifaat Crypto Currency Ke Andar Nahiñ Paai Jaati, Jis Ki Wajah Se Use Na Maal Qaraar Diya Ja Sakta He, Na Saman, Or Jab Ye Maal W Saman Nahiñ To Usse Uska Karobar Bhi Durust Nahiñ..
Or Ye Qamaar Yaani Juaa Ke Jumre Me Bhi Shamil He,
Ki Achanak Kisi Crypto Currency Ka Rate Net Par Barh Jata He Or Kabhi Uska Rate Ghat Jata He, Babut Sari Companyañ To Doob Bhi Jaati He, Or Isi tarah Unme Paisa Lagane Waloñ Ke Paise Bhi Doob Jate Hai Bahut Sara Khaasara Bhi Hota He, Yaani Usme Apne Maal Ko Khatre Me Daalna He Or Yahi Juaa He.. Or Juaa Najaaizo Haram He...
Bareilly Shareef Me Mustanad Aulma E Kiram Ki Maujudgi Me Mun'aqid Hone Wale Fiqhi Seminar Ke 15ve Fiqhi Seminar Me Is Ke Ta'alluq Se Tafseeli Hukm Shadir Farmaya He,
Chunanche Fiqhi Seminar Me Bitcoin Or Onecoine Wagairah Virtual Currency Ke Ta'alluq Se Tay Hua Ki,
Virtual Currency Ke Muta'alliq Jitni Ma'aloomat Hasil Hui Unki Roshni Me Bahas W Tahqeeq Ke Baad Ba Ittefaqe Raaye Ye Tay Hua Ki Virtual Currency Maadi Nahiñ Or Uska Koi Wujood Kharji Nahiñ To Shar'an Vo Maal Nahiñ He Ki Maal Ka Az Qabeel A'ayaan Hona Zaroori He,
Or Jab Vo Currency Maal Nahiñ To Vo Samane Istelaahi Bhi Nahiñ He..
Bee'a Ke Liye Mubee'a Ka Maal Hona Zaroori He, Or Jab Mazkoora Currency Maal Nahiñ He To Uski Kharido Farokht Bhi Jaaiz Nahiñ He..
Or Tamam Membaran Ke Coins Ko Kisi Muqarra Tarikh Par Dugna Karne Ke Ta'alluq Se Sawal Ke Jawab Me He Ki Ye Qamaar (Juaa) Ke Hukm He..
Bar Bina E Urf W Ta'amil Jawaz Ki Koi Soorat Nahiñ...
*📚 Makhuz Az: (15va Fiqhi Seminar, Sharai Council Of India Bareily Shareef)*
Lihaza Crypto Currency Ya BitCoin Ya Is Jesi Virtual Currency Ki Kharido Farokht Uska Len Den Najaaiz He.. Musalman Ko Isse Bachna Zaroori He....
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️9 June 2023, 19 Zul Qa'ada 1444*
📲+9
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment