*_Ek Hi Janwar Me Qurbani Or Aqeeqah Ki Shirkat Ka Hukm_*
*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Hazrat Mera Sawal Hai Ki Kya Qurbani Ke Janwar Mai Aqeeqa Kar Sakte Hai Hissa Leke Ya Qurbani Ka Janwar Leke
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Kar Sakte Hen... Isliye Ke Dono Ka Maqsad Ek Hi He. Qurbani Me Bhi Niyyat Taqarrub Ki Hoti He Our Aqeeqe Me Bhi Taqarrub Ilallah Ki Niyyat Hoti He.. Lihaza Ek Bade Janwar Me Kuchh Qurbani Ke Hisse Our Kuchh Aqeeqe Ke, Is Tarah Kar Sakte Hen.
Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Isi Tarah Qurbani or Aqeeqah Ki Bhi Shirkat Ho Sakti He Ki Aqeeqah Bhi Taqarrub Ki Ek Soorat He.
*📚(Bahare Shariyat, H-15, Baab Qurbani Ke Janwar Me Shirkat, Mas'ala-16)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️22 June 2023, 3 Zul Hijja 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment