Kya Aqeeqah Ke Liye Do Janwar Zabah Karne He Ya Ek Hi Bade Janwar Me Do Hisse Rakh Sakte He

 *_Kya Aqeeqah Ke Liye Do Janwar Zabah Karne He Ya Ek Hi Bade Janwar Me Do Hisse Rakh Sakte He_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalam Alaikum

Kya Aqeeqah Me Ek Ladke Pe Do Jaan Dena Esa Kehte He to Kya Ek Pada Yani Bhens Me 7 Hisse Hote He to Kya Wo Sahi Hoga Ya Fir Do Jaan Hi Dena Hoga

*🌹JAWAB:-🌹*
Aqeeqe Me Ladke Ki Taraf Se Do Bakre Our Ladki Ki Taraf Se Ek Bakri Yani Ladke Me Nar Janwar Our Ladki Me Maada Janwar Zabah Kiya Jae to Munasib He.

Agar Kisi Ne Ladke Me Bakriyañ Our Ladki Me Bakra Zabah Kiya Tab Bhi Haraj Nahiñ... Hanfiyoñ Ke Nazdik Aqeeqah Mubah W Mustahab He...
      
Bade Janwar Ko Aqeeqe Me Zabah Kiya to Ladka W Ladki Ke Liye Alag Alag Janwar Zabah Karna Ye Zaroori Nahiñ Balki Ek Bade Janwar Me Do Hisse Ladke Ke Our Ek Hissa Ladki Ka Rakkha to Sahih He..

Jaisa Ke Bahaar E Shariat Me He,
Ladke Ke Aqeeqah Me Do Bakre or Ladki Me Ek Bakri Zabah Ki Jaye Yaani Ladke Me Nar Janwar or Ladki Me Maada Munasib He. Or Ladke Ke Aqeeqah Me Bakriyañ or Ladki Me Bakra Kiya Jab Bhi Harj Nahiñ. Or Aqeeqah Me Gaaye ( Ya Bada Janwar) Zabah Ki Jaye to Ladke Ke Liye Do Hisse or Ladki Ke Liye Ek Hissa Kaafi He Yaani 7 (Saat) Hissoñ Me Do Hisse Ya Ek Hissa...
*📚(Bahare Shariyat, H-15, Aqeeqah Ka Bayan, Mas'ala-7)*

Ladke Ke Aqeeqah Me Do Bakriyoñ Ki Jagah Ek Hi Bakri Kisi Ne Ki to Ye Bhi Jaaiz He. Ek Hadees Se Bazaahir Aysa Ma'aloom Hota He Ki Aqeeqah Me Ek Mendha Zabah Huva.
*📚(Bahare Shariyat, H-15, Aqeeqah Ka Bayan, Mas'ala-14)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️25 June 2023, 6 Zul Hijja 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts