Ilaaj Ke Liye Zakat Ki Raqam Dena Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم
Hazrat Suwal
-
Ek Khatoon Hai Jo (Last Stage) Cancer Ki Mariz Hai Jiska 2/3 Months Ilaj Ka Kharch 1 Lakh Or Usse Zyada Ka Hai Our Khatoon Ke Paas Rehne Keliye Khud Ka Ghar Bhia Hai
.
Toh Kya Aise Khatoon Ko Ilaj Ke Liye Zakat De Sakte Hai Kya ?
-
Baraahe Karam... Jawab Inayat Farmaiye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Rehna Ka Makan Hajat E Asliyyah Me Se He, Lihaza Sirf Makan Hona Ye Malik E Nisab Hone Ko Sabit Nahi Karta, Agar Uske Paas Nisab Bhar Yani 52.50 Tola Silver Ya 7.50 Tola Gold Ya Un Me Se Kisi Ek Ke Barabar Raqam Nahiñ He To Wo Malik E Nisab Nahiñ, Our Jab Monthly Uska 1/2 Lakh Ka Kharch He To Usko Zakat De Sakte He. 

Agar Us Khatoon Ko Ek Sath Zakat Ki Itni Raqam De Di Jo Nisab Tak Pahunchti He To Ab Us Se Zyada Unko Zakat Nahi De Sakte Kyuñ Ki Wo Khud Nisab Bhar Ki Malika Ho Chuki He, Lihaza Ab Wo Zakat Nahi Le Sakti.. Magar Jabki Wo Raqam Ba Tour Zakat Khud Us Aurt Ko Di, Or Us Ne Usko Khrch Kar Diya Ya Hospital Ka Bill Bhar Diya, Ke Ab Wo Nisab Bhar Ki Malika Na Rahi To Fir Zakat Le Sakti He... Warna Nahi Le Sakti.
Aur Us Aurat Ko Maal E Zakat Ka Malik Nahiñ Banaya Balki Direct Hospital Ki Fees Ada Kar Di To Zakat Ada Na Hui, Kyuñ Ki Zakat Ki Adaygi K Liye Shart He Mohtaj Hajtmand Ko Us Maal Ka Malik Bana Diya Jaye...
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Masjide Hazrat Bilaal, Nadiyad Gujarat*
*🗓️14 Apr 2023, 22 Ramzanul Mubarak 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts