Zakat Bol Kar Dena Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat Ek Sawal Hai 

Zaid Ney Zakat Key Paise Nikal Kar Jis Ko Zakat Deni Hai Usko Bol Key Paise Diye Ye Aap Ko Zakat Key Paise De Raha Hu Aisa Bol Key Dena Durust Hai Ya Nahi ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Is Tarah Se Bolke Deñge To Zakaat To Ada Ho Jayegi, Magar Is Tarah Bolna Koi Zaroori Nahiñ Sirf Dil Me Zakat Ki Niyyat Kaafi He.

Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Zakat Dene Me Iski Zaroorat Nahiñ Ki Faqeer Ko Zakat Kah Kar De, Balki Sirf Niyyate Zakat Kaafi He Yahañ Tak Ki Agar Hiba Ya Qarz Kah Kar De Or Niyyat Zakat Ki Ho Ada Ho Gai. Yuñhi Nazr Ya Hadiya Ya Paan Khane Ya Bachchoñ Ke Mithai Khane Ya Eidi Ke Naam Se Di Ada Ho Gai. Ba'az Mohtaj Zaroorat Mand Zakat Ka Rupya Nahiñ Lena Chahte, Unheñ Zakat Kah Kar Diya Jayega To Nahiñ Leñge Lihaza Zakat Ka Lafz Na Kahe.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Zakat Ka Bayan, Mas'ala-76)*
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓️11 Apr 2023, 19 Ramzanul Mubarak 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts