Kya Musta'amal Paani Ko Baytul Khala Me Istemaal Kar Sakte Hai

 *_Kya Musta'amal Paani Ko Baytul Khala Me Istemaal Kar Sakte Hai ?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Kya Farmae Hai Aulma E Kiram W Muftiyane Izaam Is Mas'ala Par Ki, 
Halate Napaaki Me Ma'a Raakib Ko Mas Karne Se Paani Ma'e Musta'amal Gair Mutahhar Ho Jata He to Baytul Khala Me Aysa Napaak Shakhs Ka Mas Kiya Huva Paani Se Dusra Paak Shakhs Apni Taharat Le Sakta He Ya Nahiñ Jabki Vo Paak Shakhs Ke Is Baat Se Nawaqif He Ki Vo Bartan Ka Paani Mas Huva He ya Nahiñ Jabki Ye Amal Saari Duniya Me Ho Raha He, Jawab Inayat Farmayeñ..

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Maa'e Musta'amal Se Napaaki Door Nahiñ Kar Sakte Maslan Gusl, Wuzu.. Or Agar Kahiñ Najasat Lag Jaye to Dho Sakte Hai Yuñi Istenja Bhi Kar Sakte Hai Ki Istenja Karne Wala Napaak Nahiñ Ho Jata He Ki Us Par Gusl Farz Ho...

Jaisa Ki *Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Fazile Bareilvy Rahematullah Alaihi* Tahreer Farmate Hai Ki,
*Raajeh W Moatamad Ye He Ki Mukallaf Par Jis Azu Ka Dhona Kisi Najaasate Hukmiya Misle Hadas W Janaabat W Inqetaa E Haiz W Nifaas Ke Sabab Bil Fe'al Wajib He Vo Azu Ya Uska Koi Hissa Agarche Nakhun Ya Nakhun Ka Kinara Aabe Gair Kaseer Me Ki Na Jaari He, Na Dah Dar Dah Be-zaroor Parh Jana Paani Ko Qabile Wuzu W Gusl Nahiñ Rakhta Yaani Paani Musta'amal Ho Jata He Ki Khud Paak He or Najaasate Hukmiya Se Tat'heer Nahiñ Kar Sakta Agarche Najaasate Haqeeqah Isse Dho Sakte Hai Yahi Qaul Najeeh W Rajeeh He*.
*📚(Fatawa Razviya, J-2, S-113)*
*✍️Al-Jawab: Hazrat Mufti Suhail Raza Markazi*
*📬Khadimut Tadrees Al-Jamiatul Qadariyah, Richha, Bareily Shareef*
*🗓️22 June 2023, 3 Zul Hijja 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts