Deobandi Zaujain Ke Nikah Me Shirkat Karne Wale Imam W Saamain Par Kya Hukm He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Asslamualikum, Bakar Jo Ki Ek Sunni Aalim He Or Ek Masjid Ka Imam He Uske Gaanw Me Ek Shadi Hui Jisme Zaujain Deobandi Hai Or Samaeen Sunni Imam Jisne Nikah Parhaya Vo Bhi Bakar Sunni To Is Soorat Me Nikah Hoga Ki Nahiñ Or Imam Or Samaeen Par Shariyate Mutahhara Ka Kya Hukm He?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jaisa Ki Sawal Me Mazkoor He Ki Zaujain Wahabi He To Aksaro Beshtar Wahabi Deobandi Apne Kufriya Aqaaid Par Muttala Hote He, Yaani Usko Is Baat Ka Ilm Hota He Ki Deobandi Ke Peshwao Ne Kya Kya Kufri Baateñ Apni Kitaboñ Me Likhi He, Aksaro Beshtar Log Jante He, Bahut Kam Log He Jo Dihaat Wagairah Me Rahte He, Jinko Kabhi In Cheezoñ Se Waqifiyat Hasil Nahiñ Hui He Vo Alag Baat He, Lekin Aksaro Beshtar Aqaaide Kufriya Par Muttala Hote He To  Ab Agar Aysi Soorat He Ki Vo Aqaaid Par Muttala He To Sire Se Ye Nikah Hi Nahiñ Hua... Jab Unka Imaan Hi Nahiñ He To Nikah Kahañ Se Hoga ? 

Isme Jo Log Sharik Huve He Vo Log Gunahgaar He, Is Liye Ki Wahabi Deobandi Apne Kufri Aqaaid Ki Buniyad Par Kaafiro Murtad He, To Unko Khush Karne Ke Liye Ho Ya Murawwato Lihaz Ka Aitebar Karte Huve Vo Shamil Huve Ho Vo Gunahgaar Huve... 

Or Imaam Sahab Jo Jaanbujh Kar Usme Shamil Huve He, Agar Imam Sahab Ko Ilm Tha Ki Waqai Me Zaujain Wahabi He To Imam Sahab Bhi Gunahgaar Huve, Imam Sahab Taubah Kare Ki Aaindah  Ayse Wahabi Deobandi Zaujain Ka Nikah Na Parhayeñge, Is Baat Ka Iqraar Kare...

Agar Imam Sahab Anjaan He Unko Bilkul Ilm Nahiñ He Tab To Ma'azoor He Lekin Ehtiyatan Vo Iqraar Karleñ Ki Aaindah Kaafi Gauro Khoz Ke Baad Hi Me In Cheezoñ Me Shamil Hoñvga.. Or Agar Jaanbujh Kar Unko Pata He Ki Waqai Me Vo Log Deobandi He Tab To Fir Imam Sahab Par Taubah Zaroori He Ki Vo Ayse Wahabi Deobandi Ka Nikah Parhate He Jo Sire Se Islam Se Hi Kharij He...

Or Jo Awaamun Naas He, Zahir Si Baat He Jitne Log Shamil Hove Hoñge, To Vahañ Anjaan Ki Soorat Nahiñ Ban Pati, Maan Lijye Agar 10 Se 20 Log Hoñ Or Sab Anjaan Ho To Aysa Nahiñ Ho Sakta He, Ek Do Koi Ho Vo Alag Baat He... Lekin Aksar Log Jab Wahañ Shamil Huve He Jo Rishtedar Ya Ahbab He Vo Jante Hi He Ki Vo Kis Aqeede Ka He... Baharhaal Vo Sab Bhi Taubah Kare Or In Cheezoñ Se Aaindah Ke Liye Ijtinab Kare....

Or Agar Aysi Soorat Paida Hoti He Ki Zaujain Jo He Bilkul Anjaan He Unko Pata Hi Nahiñ Ki Sunni Kya He Deobandi Kya He, Apne Aqaaid Se Bilkul Vo Na Aasna He, Aqaaid Ko Unko Ilm Nahiñ He, To Is Soorat Me Ye Hukm Nahiñ Hoga... Lekin Aysa Bahut Kam Hota He...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab 
*🎙️Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Ahmad Raza Misbahi Sahab Qibla*
*_📬Qadri Barkati Darul Ifta Wal Qaza, Jogeshwari, Mumbai_*
*🗓️17 June 2023, 27 Zul Qa'ada 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts