Kya Zakat Ramzan Me Hi Ada Karni He Ya Ramzan Ke Baad Ya Pahle Kar Sakte he ? Or Ramzan Me Hi Kyuñ Zakat Nikalte He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alikum 
Kya Jakat Ramadan Me Hi Sab De Ya Fir Ramadan Ke Baad Bhi De Sak Te He Agar Ramadan Me Sab Nahi Di To. ? Hazrat Is Ta'alluq Se Bhi Farma Dijye Ki Zyadatar Ramzan Me Zakat Ada Q Karte He.. Or Maal Ke Howlane Hol Guzarne Se Pahls Agar Ramzan Aa Jaye To Usme Bhi Zakat Ada Kar Sakte He...??

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Zakaat Us Waqt Ada Kare Jab Ki Maal Par Howlane Hol Yaani Ek Saal Guzar Chuka Ho, Us Waqt Zakaat Ada Karna Wajib Ho Jata He..

Durre Mukhtar Me He,
شرط افتراض ادائھا حولان الحول وهو فی ملکه

Lihaza  Howlane Hol Yaani Mukammal Saal Ramzaan Se Pahle Ho Chuka To Ab Zaroori Or Wajib Ye He Ki Ramzan Hi Se Pahle Usko Ada Karde, Or Agar Howlane Hol Ka Hisab Ramzaan Me Hota He To Ramzaan Me Ada Kare, Or Agar Ba'ade Ramzaan Hota He To Ba'ade Ramzaan Us Zakaat Ka Ada Karna Zaroori Hoga.. 

Albatta Abhi Howlane Hol Hua Nahiñ, Or Peshgi Yaani Advance Me Zakaat Ada Karna Chahta He To Isme Koi Harj Nahi...

Fatawa Razviya Shareef Me Huzur Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Abhi Nisaabe Naami Farig Anil  Hawaaij Ka Malik Huve Saal Na Hua Ya Yuñ Ki Saale Guzishta Ki De Chuka He, Or Saale Rawañ Hunoos Khatam Par Na Aaya To Jab Tak Intehaye Saal Na Ho Bila Shubah Tafreeqo Tadreej Ka Ikhtiyare Kaamil Rakhta He..

 Yaani Thodi Thodi De, Ya Pehle De Iska Ikhtiyare Kaamil Rakhta He... Jis Me Aslan Koi Nuqsaan Nahiñ, Ki Howlane Hol Se Pahle Zakaat Wajibul Ada Nahiñ Hoti...

Or Kuchh Satar Bad Likhte Hai...
To Abhi Yaani Howlane Hol Se Pahle Saal Mukammal Hone Se Pahle Shara'a Usse Taqaza Hi Nahiñ Farmati.. Yak Musht Dene Ka Mutalba Kahañ Se Hoga... Or Ye Advance Me Ya Peshgi Dena Tabarro He...Or Nafl Dene Par Jabr Nahiñ Or Nihayat Hi Wazeh He... *📚(Fatawa Razviya)*

Or Pahle Hi Bataya Ja Chuka Ki Agar Saal Pura Ho Chuka Or Abhi Ramzaan Nahiñ Aaya To Fil For Ada Karde... Ki Ab Agar Zarra Barabar Takhir Karega To  Gunahgar Hoga.. Uski Tasreeh Hamare Imame Aazam Abu Hanifa Or Digar A'imma E Mujtahideen Or Kutube Fiqh Me Farmai Gai.. Ki Bagair Mujboori Ke Agar Usne Takhir Ki Saal Pura Ho Chuka Zakaat Ada Nahiñ Ki To Fir Aysa Shakhs Gunahgar Bhi Hoga Or Ek Kitab Me He Ki Uski Shahadat Radd Kardi Jayegi.. Vo Mardudush Shahadah Ho Jayega..
*📚(کما فی الفتاوی الرضويه)*

Liyaza Yahañ Par Chand Baatoñ Ka Khayal Rakha Jaye, Ki Howlane Hol Ho Chuka Ho Agarche Ramzaan Na Aaya Ho Fouran Puri Ki Puri Zakat Ada Karde. Or Agar Howlane Hol Kamil Nahi Huva, Howlane Hol Ramzaan Ke Baad Hoga, Yaani Maal Par Ramzan Ke Baad Ek Saal Khatm Hoga To Ramzan Me Bhi Vo Peshgi Ke Tour Par Vo Puri Ya Thodi Thodi Zakat Ada Kar Sakta He..

Ramzanul Mubarak Ka Vo Mubarak Mahina He Ki Jisme Ek Nafl Ka Sawab Farz Ke Barabar Or Farz Ka Sawab 70 Guna Ata Kiya Jata He... To Is Wajah Se Ramzanul Mubarak Me Log Zyada Se Zyada Sadqaat, Atiyyaat, Or Zakaat Ada Karte Hai, Taaki Unko Sawab Zyada Mile.. 

Or Is Wajah Se Bhi Log Ramzanul Mubarak Me Zyada Ada Karte Hai Ki Jo Qura'an Shareef Me Khushkhabri Allah Ki Raah Me Kharch Karne Waloñ Ke Bare Me Sunaai Gai Yaani Allah Tabarak W Ta'ala Farmata He,
مَثَلُ الَّذِیْنَ یُنْفِقُوْنَ اَمْوَالَهُمْ فِیْ سَبِیْلِ اللّٰهِ كَمَثَلِ حَبَّةٍ اَنْۢبَتَتْ سَبْعَ سَنَابِلَ فِیْ كُلِّ سُنْۢبُلَةٍ مِّائَةُ حَبَّةٍؕ-وَ اللّٰهُ یُضٰعِفُ لِمَنْ یَّشَآءُؕ-وَ اللّٰهُ وَاسِعٌ عَلِیْمٌ
Or Jo Log Allah Ki Raah Me Kharch Karte Hai Unki Kahaawat Unki Misaal Us Daane Ki Jisse 7 Baali Nikle Har Baal Me 100 Daaneñ, Or Allah Jise Chahta He Zyada Deta He Or Allah Wus'at Wala Bada Ilm Wala He.
*📚(Surah Baqrah, Aayat-261)*

To Chuñki Yahañ Par Allah Ki Raah Me 1 Rupya Kharch Karna 700 Guna Zyada Bataya Or Ramzaanul Mubarak Me Chuñki Ye Nafl 70 Guna Barha Diya Jata He. To Is Ummid Par Ki Allah Tabarak W Ta'ala Zakaat, Sadqaat Atiyyaat Wagairah Tahaaif Jo Kuchh Bhi Allah Ki Raah Me Diya Usme Allah Ta'ala Uske Ajro Sawab Me Or Bhi Izafa Farmaye Is Wajah Se Log Ramzanul Mubarak Zyada Se Zyada Apni Apni Zakaat Ada Karte Hai.. 

To Agar Howlane Hol Na Hua Ho Ya Ramzanul Mubarak Hi Me Howlane Hol Hua Ho To Ayse Shakhs Ko Chahiye Ki Ramzanul Mubarak Hi Me Zakaat Ada Karde Or Dhero Ajro Sawab Ka Mustahiq Ho Jaye..

Aysa Hi *📚Fatawa Razviya Shareef, J-10* Me Huzur Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Ne Farmaya He..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️19 Apr 2023, 27 Ramzanul Mubarak 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts