Saiyed Sadat Ki Tazeem Kab Tak Kar Sakte Hai ? Or Saiyed Agar Sunni Na Ho To Kya Hukm He ? Or Saiyed Sadat Ki Tauheen Karna Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Syed Ki Tajim Kab Tak Kar Sakte He ? Aur Syed He Pr Sunni Nahi To Uske Liye Kya Huqm He ? Aur Syed Ki Tohin Karna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Sahihul Aqeedah Saiyed (Saadat) Ki Tazeem W Ehteram Farz He, Uski Taazeem Har Haal Me Ki Jayegi, Or Bila Wajhe Sharai Tauheen Haram Balki Aulma E Kiram Ne Farmaya Bawajhe Tahqeer Ho To Kufr He.. Or Agar Saiyed Aysa Badmazhab Ho Gaya Jiski Badmazhabi Hadde Kufr Ko Pahunch Gai Tab Uski Taazeem Na Ki Jayegi Ki Kufr Ki Bina Par Ab Vo Saiyed Sadaat Hi Na Raha..

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Sadaate Kiram Ki Tazeem Farz He Or Unki Tauheen Haram Balki Aulma E Kiram Ne Irshad Farmaya Jo Kisi Aalim Ko Maulwiya Ya Kisi Ko Meerwa Barwajhe Tahqeer Kahe Kafir He.

Majma Ul Anhar Me He,
الاستخفاف بالاشراف والعلماء کفر ومن قال لعالم عویلم اولعلوی علیوی قاصدا بہ الاستخفاف کفر
Sadaate Kiram Or Aulma Ki Tahqeer Kufr He Jisne Aalim Ko Tasgeer Karke Aweelam Ya Alwi Ko Aleewi Tahqeer Ki Niyyat Se Kaha To Kufr Kiya .
*📚(مجمع الانہر شرح ملتقی الابحر باب المرتد ثم ان الفاظ الکفر الخ داراحیاء التراث العربی بیروت ۱/ ۶۹۵)*

Bayhaqi Ameerul Mo'amineen Maula Ali Karramallahu Wajahhu Se Or Abul Shaikh W Delmi Riwayat Karte Hai Ki RasoolAllah ﷺ Farmate Hai:
من لم یعرف حتی عترتی والانصار والعرب فھو لاحدی ثلاث اما منافقا واما لزنیۃ واما لغیر طھور ۲؎۔ ھذا لفظ البیھقی من حدیث زید بن جبیر عن داؤد بن الحصین عن ابن ابی رافع عن ابیہ عن علی رضی اﷲ تعالی عنہ ولفظ غیرہ امامنا فق واما ولد زنیۃ واماامرء حملت بہ امہ فی غیر طہر
Jo Meri Awlad Or Ansaar Or Arab Ka Haq Na Pahechane Vo 3 Illatoñ Se Khali Nahiñ.. Ya To Munafiq He Ya Harami Ya Haizi Bachcha.
*📚(شعب الایمان حدیث ۱۶۱۴ دارالکتب العلمیہ بیروت ۲/ ۲۳۲)*
Ye Bayhaqi Ke Alfaaz Zaid Bin Jabeer Ne Apne Walid Ke Hawale Se Hazrat Ali Radiallahu Anhu Se Riwayat Kiye Dusroñ Ke Alfaaz Yuñ Hai: Ya Munafiq, Waladuz Zana Ya Uski Maañ Ne Napaaki Ki Halat Me Uska Hamal Liya.
*📚(الفردوس بما ثور الخطاب حدیث ۵۹۵۵ دارالکتب العلمیہ بیروت ۳/ ۶۲۶)*

Balki Aulma W Ansaar W Arab Se To Vo Murad Hai Jo Gumrah Bad Deen Na Hoñ Or Sadaate Kiram Ki Taazeem Hamesha Jab Tak Unki Badmazhabi Hadde Kufr Ko Na Pahunche Ki Uske Baad Vo Saiyed Hi Nahiñ Nasab Munqata'a He.

قال اﷲ تعالی انہ لیس من اھلک انہ عمل غیر صالح 
Allah Ta'ala Ne Farmaya: (Ay Nooh (Alaihis Salam)) ! Vo Tera Beta (kin'aan) Tere Ghar Waloñ Me Se Nahiñ Is Liye Ki Uske Kaam Achche Nahiñ.
*📚(القرآن الکریم ۱۱/ ۴۶)*

Jaise Nechri, Qadyani, Wahabi, Gair Muqllid, Deobandi Agarche Saiyed Mash'hoor Hoñ Na Saiyed Hai Na Unki Taazeem Halal Balki Tauheen W Takfeer Farz, Or Rawaafiz Ke Yahañ To Siyaadat Bahut Aasan He Kisi Qaum Ka Raafzi Ho Jaye, Do Din Baad Meer Sahab Ho Jayega, Unka Bhi Wahi Haal He.. Ki In Firqoñ Ki Tarah Tabraaiyane Zamana Bhi Umooman Murtadeen Hai.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-22, Mas'ala-180)*

Lihaza Saiyed Sahihul Aqeedah Ki Tazeem Har Haal Me Ki Jayegi, Or Agar Saiyed Sunni Nahiñ Uski Badmazhabi Hadde Kufr Ko Pahunch Gai To Fir Uski Taazeem Na Ki Jayegi Ki Ab Vo Saiyed Hi Na Raha, Nasab Munqata'a Ho Gaya.. Balki Uski Tauheen W Taqfeer Laazim Or Saiyed Sahihul Aqeedah Ki Tauheen Karna Haram Balki Bawajhe Tahqeer Ho To Aulma E Kiram Ne Kufr Farmaya...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️17 Apr 2023, 25 Ramzanul Mubarak 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts