Namaze Panjgana Me Awwal Saf Ko Or Janaza Me Aakhri Saf Ko Fazilat Kyuñ ?

 *_Namaze Panjgana Me Awwal Saf Ko Or Janaza Me Aakhri Saf Ko Fazilat Kyuñ ?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
5 Waqt Ki Namaz Mein Pahli Safh Ko  Afzal Mani Gai Lekin Namaz e Janaja Mein Pichhali Safh Ko  Zyada Afzal Mani Gai Aisa Kyon??

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Namaze Panjgana Me Awwal Saf Ko Fazilat Haasil He Iski Wajah  Ye He Ki Huzur Saiyede Aalam ﷺ Ne Irshad Farmaya Ki,
Allah Ta'ala Or Uske Farishte Sabse Pahle Awwal Saf Par Rahemat Bhejte Hai Phir Dusri Saf Par Phir Tisri Saf Par Or Namaze Janaza Me Uske Bar Aks Aakhri Saf Ko Fazilat Hasil He.. 

Uski 3 Wajheñ He,

Pahli Wajah He He Ki Usme Ta'adade Sufoof Matloob He To Agar Saf Awwal Ko Fazilat Di Jati To Logoñ Ke Kam Hone Ki Soorat Me Sab Ek Hi Saf Me Rahte Dusri Tisri Saf Na Lagate, Lihaza Saf Awwal Ko Fazilat Na De Kar Aakhri Saf Ko Fazilat Di Gai.

Dusri Wajah Ye He Ki Aakhri Saf Wale Tawaaze'a W Inkesaari Ke Sath Mayyat Ke Haq Me Shafa'at W Magfirat Ki Dua Karte Hai Or Unki Shafa'at W Magfirat Qubooliyat Ke Zyada Munasib Hoti He..

Tisri Wajah Ye He Mi Mayyat Ki Namaz Parhna Bazaahir Ibadate Asnaam Se Mushabah He Lekin Usko Haq Adaayegi Muslam Ke Liye Hasan Qarar Diya Gaya Or Vo Sirf Namaze Janaza Se Hasil Ho Jata He..

Lihaza Jis Qadar Mayyat Se Door Rahega Tashbah Ba-ibadatul Asnaam Se Door Rahega Is Liye Bhi Aakhri Saf Ko Fazilat Hasil Hoti He..

Jaisa Ki *📚Noor Ul Anwaar, S-51* Or *📚Naami Haashya Husami, S-51* Par Marqoom He..

Raddul Muhtar Me He,
قولہ خیر صفوف الرجال أولھا لانہ روی فی الاخبار انﷲ تعالیٰ اذا انزل الرحمۃ علی الجماعت ینزلھا اولا علی الامام ثم تجاوز عنہ الی من بحذائہ فی الصف الاول ثم الی المیامن ثم الی المیاسر ثم الی الصف الثاني اھ *📚(جلد ١ ص ٥٦٩)*

Or Isi Me He,
  قولہ فی غیر جنازۃ اما فیھا فاخرھا اظھار اللتواضع لأنھم شفعاء أحری بقبول شفاعتھم ولان المطلوب فیھا تعددالصفوف فلو فضل الاول امتنعوا عن التأخر عند قلتھم رحمتی 
*📚(ج 1 ص ٥٧٠)* 
*📚(Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta, J-1, S-215)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️12 June 2023, 22 Zul Qa'ada 1444*
📲+9
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
Read More Q/A Click On Link⏬
https://baharemasail.blogspot.com/?m=1
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts