*_Masjid Pahuchne Tak Jama'at Chhutne Ka Khof Ho To Ghar Par Namaz Parhna Kesa?_*
*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Hazrat Mera Ek Sawal Hai
Ghar Par Namaz Ada Karna Kaisa Agr Jamaat Chhuth Jaaye Ya Hume Lag Raha Hai Ke Masjib Pahochte Pahochte Namaz Chhuth Jayengi to Kya Hum Ghar Par Namaz Ada Kar Sakte Hai ?
Jawab Inayat Farmaye
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Kabhi Aisa Ho Kisi Wajah Se to Ghar Par Namaz Ada Karne Me Koi Haraj Nahiñ, Magar Hamesha Is Tarah Karna Sahih Nahiñ, Ke Panj Waqta Namaz Me Jama'at Ki Hazri Har Musalman Aaqil Balig Aazad Par Wajib He.. Bila Uzr e Sharai Ek Baar Bhi Chhodne Wala Gunahgar Our Mustahiq E Naar He...
Jaisa Ki Bahaar E Shariat Me He,
Aaqil, Balig, Hur, Qadir Par Jama'at Wajib He, Bila Uzr Ek Baar Chhorne Wala Gunahgaar or Mustahiqe Saza He or Kai Baar Tark Kare, to Fasiq Mardoodush Shahadah or Usko Sakht Saza Di Jayegi, Agar Parosiyoñ Ne Sukoot Ikhtiyar Kiya Vo Bhi Gunahgaar Huve.
*📚(Bahare Shariyat, H-3, Jama'at Ke Masaail)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️14 June 2023, 24 Zul Qa'ada 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
Read More Q/A Click on Link
https://baharemasail.blogspot.com
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment