*🌹SAWAL:-🌹*
Safar Me Hu Bhul Se Zohr Ki 4 Rakat Namaz Pd Li To Kya Namaz Ho Jayegi
Agar Vo Sharaee Musafir He To Us Par Wajib He Ki Namaz Me Qasr Kare, Yaani 4 Rakaat Waale Farz, Maslan Zuhar, Asar, Or Isha Ko 2 Parhe Ki Uske Haq Me 2 Rak'ateñ Hi Puri Namaz He. Lihaza Agar Jaanbujh Kar 2 Ki Bajaye 4 Rak'ateñ Ada Ki Or Dusri Raka'at Par Qa'adah Kiya Tha To Farz Ada Ho Gaye Or Aakhri 2 Rak'ateñ Nafl Ho Gai.. Magar Tarke Wajib Ke Sabab Karahte Tahreemi Ka Muratakib Or Gunahgar Huva, Lihaza Us Par Taubah Karna Or Dubara 2 Raka'at Namaz Ada Karna Wajib He. Albatta Agar Sahwan Yaani Bhule Se 4 Rak'aat Parhi Hoñ To Sajda E Sahw Wajib He Or Sajda E Sahw Hone Ke Bawajood Na Kiya To Dubara Namaz Ada Karna Wajib He..
Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Musafir Par Wajib He Ki Namaz Me Qasr Kare Yaani Char Rak'at Wale Farz Ko Do Parhe Uske Haq Me Do Hi Rak'ateñ Puri Namaz He Qasdan Char Parhiñ Or Do Par Qa'adah Kiya To Farz Ada Ho Gaye Or Pichhli Do Rak'ateñ Nafl Huiñ. Magar Gunahgar W Mustahiqe Naar Huva Ki Wajib Tark Kiya, Lihaza Taubah Kare Or Do Raka'at Par Qa'adah Na Kiya, To Farz Ada Na Huve Or Vo Nafl Ho Gai.
*📚(Bahare Shariyat, H-4, Namaze Musafir Ka Bayan, Mas'ala-16)*
Tanweerul Absaar Me He,
”(فلو اتمّ مسافر ،ان قعد فی )القعدۃ (الاولیٰ تمّ فرضہ و)لکنّہ (أساء)لوعامداً لتاخیر السلام وترک واجب القصر“
Agar Musafir Ne Namaz Mukammal Parhli Or Qa'adah E Awla Me Betha, To Uske Farz Mukammal Ho Gaye, Lekin Bura Kiya Jab Ki Jaanbujh Kar Aysa Kiya Ho, Is Liye Ki Salam Me Takheer Hui Or Qasr Ka Wajib Tark Huva.
*📚(تنویرالابصار مع درمختار،کتاب الصلاۃ ،باب صلاۃ المسافر،جلد 2،صفحہ 733،734،مطبوعہ کوئٹہ )*
Isi Ke Tahat Allama Ibne Aabedin Shami Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai,
”فعلم انّ الاساءۃ ھنا کراھۃ التحریم “
Maloom Huva Ke Yahañ Isaat Se Murad Karahte Tahreemi He.
*📚(ردالمحتار مع الدر المختار ، کتاب الصلاۃ ،باب صلاۃ المسافر،جلد 2،صفحہ734،مطبوعہ کوئٹہ )*
Or Karahate Tahreemi Ke Sath Ada Ki Gai Namaz Ka Ae'aada Wajib Hone Ke Bare Me Durre Mukhtar Me He,
”کل صلاۃ ادّیت مع کراھۃ التحریم تجب اعادتھا “
Har Vo Namaz Jo Karahate Tahreemi Ke Sath Ada Ki Gai Usko Lotana Wajib He.
*📚(الدرالمختار مع رد المحتار،کتاب الصلاۃ ،واجبا ت الصلاۃ،جلد2،صفحہ 182،مطبوعہ کوئٹہ )*
Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Jis Par Shar'an Qasr He Or Usne Jahlan (Puri) Parhi Us Par Mawakhiza He Or Us Namaz Ka Pherna Wajib.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-8, Mas'ala-1271)*
Or Musafir Ne Bhule Se 4 Rak'ateñ Ada Karli To Sajda E Sahw Karne Ke Ta'alluq Se Musannaf Abdur Razzaq Me He,
”عن الحسن في مسافر يسهو فيصلي الظهر أربعا قال: يسجد سجدتي السهو“
Imam Hasan Basri Rahematullah Alaihi Se Us Musafir Ke Muta'alliq Marwi He Jo Zuhar Ki (2 Ki Bajaye) Char Raka'at Ada Karle, Farmaya: Vo Sahw Ke Do Sajde Kare.
*📚(مصنف عبدا لرزاق ، باب مسافر امّ مقیمین ، جلد 2 ، صفحہ 541 ، مطبوعہ المجلس العلمی ، ھند )*
Or Allama Shurunbulaali Hanfi Rahematullah Alaihi Likhte Hai,
” (فإذا أتم الرباعية) و الحال أنه (قعد القعود الأول) قدر التشهد (صحت صلاته) لوجود الفرض في محله وهو الجلوس على الركعتين وتصير الأخريان نافلة له (مع الكراهة ) لتأخير الواجب وهو السلام عن محله إن كان عامدا فإن كان ساهيا يسجد للسهو “
Or Jab Musafir 4 Raka'ateñ Puri Parh Le Or Dusri Raka'at Par Baqadre Tash'hhud Betha Ho, To Uski Namaz (karahat Ke Sath) Durust Ho Jayegi, Ki Farz Apne Mahal Me Paya Gaya Or Vo Do Raka'atoñ Ke Baad Bethna He Or Aakhri Do Rak'ateñ Nafl Ho Jayeñgi. Magar Ye Namaz Makrooh Hui, Is Liye Ki Salam Ka Wajib Apne Mahal Se Muakhkhar Huva, Jabki Usne Jaanbujh Kar Aysa Kiya Ho, Or Agar Bhule Se Char Parhi Ho To Sajda E Sahw Karega.
*📚(مراقی الفلاح شرح نور الایضاح، باب صلاۃ المسافر ، صفحہ222، مطبوعہ مکتبۃ المدینہ ، کراچی )*
Sajda E Sahw Wajib Hone Ke Bawajood Na Kiya To Namaz Wajibul Ae'aada Hogi..
Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai,
Agar Sahwan Wajib Tark Huva Or Sajda E Sahw Na Kiya, Jab Bhi Ae'aada Wajib He.
*📚(Bahare Shariyat, H-4, Sajda E Sahw Ka Bayan, Mas'ala-3)*
Lihaza Sharaee Musafir Ne Bhule Se Qasr Ki Jagah Puri Namaz Parhli To Farz To Ada Ho Gaya Or Agar Sajda E Sahw Kar Liya To Namaz Ho Gai, Or Sajda E Sahw Bhi Na Kiya To Us Namaz Ka Lotana Wajib..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️13 Apr 2023, 21 Ramzanul Mubarak 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment