Ek Hi Shakhs Ko 1 Lakh Rupya Zakat Me Dena Kesa Or Zakat Ka Hukm ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum ,
Umar Ka Bhai Zakat Ke Mustahik Hai To Kya Jitna Chahe Zakat Ka Rakam De Sakta Hai ,  Jaise Umar Ke Yaha 2 Lakh Zakat Ka Rakam Nikla To Apne Bhai Ko 1 Lakh De Sakta Hai,,

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Zakat Dene Wale Ko Ikhtiyar He Ki Un Saatoñ Qismoñ Ko De (Yaani Jo Masaarife Zakaf Hai) Ya Unme Kisi Ek Ko Dede, Khwah Ek Qism Ke Chand Ashkhaas Ko Ya Ek Ko..

Or Maale Zakat Agar Baqadre Nisab Na Ho To Ek Ko Dena Afzal He..

Or Agar Baqadre Nisab Ho To Ek Shakhs Ko Baqadre Nisab Dena Makrooh He, Magar De Diya To Ada Ho Gai.

Ek Shakhs Mo Baqadre Nisab Dena Makrooh Us Waqt He Ki Vo Faqeer Madyoon Ho To Itna De Dena Ki Dein Nikaal Kar Kuchh Na Bache Ya Nisab Se Kam Bache Makrooh Nahiñ. Yuñhi Agar Vo Faqeer Baal Bachchoñ Wala He Ki Agarche Nisab Ya Zyada He, Magar Ahlo Ayaal Par Taqseem Kareñ To Sab Ko Nisab Se Kam Milta He To Is Soorat Me Bhi Harj Nahiñ
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Zakat Ka Bayan, Mas'ala-18)* 

Lihaza Umar Ka Bhai Agar Mustahiq He Or Madyoon He Ki Qarz Ki Adayegi Ke Baad Kuchh Na Rahe Ya Nisab Se Kam Bache To Ek Lakh De Sakta He Ya Agar Vo Baal Bachchoñ Wala He Ki Ahlo Ayaal Par Taqseem Kare Sabko Nisab Se Kam Milta He To Tab Bhi Harj Nahiñ Warna Itna Maal Dena Makrooh He, Lekin Zakat Ada Ho Jayegi.
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓️13 Apr 2023, 21 Ramzanul Mubarak 1444*

*✅Al-Jawabus Sahih: Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts