Sharai Safar Me Namaz Nahi Parhi Or Namaz Ke Usi Waqt Me Ghar Pahuch Gaya To Namaz Qasr Kare Ya Pur

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaykum Warahmatullahi Wabarkatuh 

Hazarat Safar Ki Namaz Ke Mutalliq Sawal Hai..

Hum Aise Jagah Ho Jaha pe Agar Kisi Namaz Ka Waqt Hua to Safar Ki Namaz Ada Karni Hogi Magar Kisi Bhi Wazah Us Waqt Namaz Ada Nahi Hue Aur Ghar Ke Liye Nikal Aaye. Aur Ghar Pahoch Ke Bhi Usi Namaz Ka Waqt Abhi Hai to Konsi Namaz Ada Hogi Safar Ki Ya Puri Namaz.  Aur Agar Namaz Ka Waqt Guzar Gaya Ho to Safar Ki Kaza Padhe Ge Ya Puri Kaza Padhni Hogi?
Rehnumayi Farmaye....

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Safar Se Wapsi Par Agar Bich Raah Me Namaz Ada Nahiñ Ki or Watane Iqaamat Me Dakhil Ho Gaya Agar Abhi Namaz Ka Waqt He to Ab Namaz Puri Parhega.. Yaani Apne Ghar Wapas Aa Gaya Ya Jahañ Jana He Vahañ Iqaamat Ki Niyyat He , 15 Din Se Zyada Rahne Ki Niyyat He to Vahañ Par Pahunch Kar Vo Us Namaz Ko Puri Ada Karega... Ayse Halat Me Namaz Ka Aakhri Waqt Muraad Hota He, Ki Namaz Ka Aakhri Waqt Dekheñge Ki Namaz Namaz Ka Aakhri Waqt Kis Halat Me Guzra Iqaamat Me Ya Safar Ke Dauran Agar Iqaamat Me Guzra Ho to Puri Parhege.. Or Usko Qaza Kar Diya to Uski Qaza Bhi Puri Parhenge...
Or Agar Safar Ke Dauran Vo Waqt Guzra to Fir Usko Qasr Ada Kareñge..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️11 June 2023, 21 Zul Qa'ada 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts