*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaykum Warahmatullahi Wabarkatuh
Agar Hum Makami Shehar Se Safar Ke Liye Nikle Ho Aur Safar Suru Hi Kiya Ho Aur Kisi Bhi Namaz Ka Waqt Ho Jaye to Jab Humara Safar Khatam Ho to Waha Agar Hum Namaz Ada Kare to Konsi Ada Kare? Safar Ki Namaz Ya Puri Namaz?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Jis Jagah Par Jana He Aapko Wahañ 15 Din Ya Usse Se Zyada Rahne Ki Niyyat He to Vahañ Ja Kar Mukim Ho Gaye, Aysi Soorat Me Aapko Vahan Par Puri Hi Namaz Ada Karni Hogi Qasr Nahiñ... Or Agar 15 Din Ya Usse Zyada Ki Niyyat Nahiñ He, Usse Kam Ki Niyyat He Ya Kam Din Thaherna He to Aysi Soorat Me Aap Qasr Namaz Ada Kareñge...
Allah Tabarak W Ta'ala Ne Irshad Farmaya,
{ وَ اِذَا ضَرَبْتُمْ فِی الْاَرْضِ فَلَیْسَ عَلَیْكُمْ جُنَاحٌ اَنْ تَقْصُرُوْا مِنَ الصَّلٰوةِ ﳓ اِنْ خِفْتُمْ اَنْ یَّفْتِنَكُمُ الَّذِیْنَ كَفَرُوْاؕ }
Is Aayate Kareema Me Allah Ta'ala Ne Safar Ke Dauran Namaz Ko Qasr Karne Ka Hukm Diya Yaani Zuhar Asr or Isha Ki 4 Rak'at Farz Ki Jagah 2 Rak'at Parhe... Or Ye Do Rak'at Parhna Yaani Qasr Karna Wajib He...
Lihaza Agar Kisi Ne Janbujh Kar 4 Parhi to Vo Gunahgaar Hua Mustahiqe Naar Hua... Or Ye Bhi Zaroor Yaad Rakhe Ki Aapka Vo Safar Aapke Watane Iqaamat Se Kamobesh 92 Km Ka Ho..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️11 June 2023, 21 Zul Qa'ada 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment