Aasoob Chashme Wale Shaksh Ke Liye Namaz Ka Hukm

 *_Aasoob Chashme Wale Shaksh Ke Liye Namaz Ka Hukm_*

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Farmate Hai Aulma E Kiram W Muftiyane Izaam Is Mas'ala Me Ki Shahar Me Aasoob Chashm Ki Bimari Phaili Hui He to Is Bimari Me Daurane Namaz Agar Aankh Se Paani Nikle to Namaz Ka Kya Hukm Hoga ? Shariyat Ki Roshni Me Jawab Inayat Farmayeñ..

*🌹JAWAB:-🌹*
Daurane Namaz Bimari Ke Sabab Aankh Se Paani Nikle to Uski Namaz Nahiñ Hogi Ki Sababe Bimari Aankh Se Paani Nikalna Naaqise Wuzu He or Jab Bimari Ke Sabab Aankh Se Paani Nikalne Se Wuzu Chala Jayega to Usse Namaz Bhi Nahiñ Hogi Jab Tak Hadde Uzr Ko Na Pahuñche Us Par Laazim He Ki Dubara Wuzu Karke Namaz Parhe..

Fatawa Hindiya Me He,
 والغرب في العين بمنزلة الجرح فما يسيل منه ينقض الوضوء كذا في فتاوى قاضی خان ولو كان في عينه رمدااو عمش يسيل منها الدموع قالوا : يومر بالوضوء لوقت كل صلوة لاحتمال ان یکون سدیدا او فیحا كذافی التبیین۔۔
*📚(Fatawa Aalamgiri, Kitabut Taharat, J-1, S-62, Jadeed)*

Sadrushshariyah Allama Mufti Amjad Ali Aazmi Alaihir Rahma Tahreer Farmate Hai,
Aankh, Kaan, Naaf, Pistan Wagairaha Me Dana Ya Nasoor Ya Koi Bimari Ho in Wajhoñ Se Jo Aansu Ya Paani Bahe Wuzu Tod Dega  Wafiyah Aydan: "Aankh Dukhte Me Jo Aansu Bahta He Najis W Naqize Wuzu He Isse Ehtiyaat Zaroori He"
*📚(Bahare Shariyat, Wuzu Ka Bayan, J-1, S-305 Ta 310, Mulakhkhsan)*

Agar Ye Aarza Hadde Uzr Ko Pahuñch Jaaye Yaani Musalsal Paani Nikalta Rahe Hatta Ki Ek Namaz Ka Pura Waqt Paani Nikalta Raha or Itni Muhlat Na Mili Jis Me Ba Wuzu Farz Waqt Ada Kar Sake to Shara'a Ki Nazar Me Ye Shakhs Ma'azoor He or Ma'azoor Ka Hukm Ye He Ki Jab Namaz Ka Waqt Shuru'a Ho Wuzu Karle or Us Wuzu Se Us Waqt Me Jis Qadar Chahe Namaz Wagairah Parh Sakta He Agarche Aasoob Chashm Ke Sabab Paani Nikalta Rahe Ki Ab Sababe Ma'azoori Is Wuzu Se Nahiñ Tutega Haañ Mazkoora Uzr Ke Maa-siwa Koi Naaqize Wuzu Paya Jaye to Uska Wuzu Toot Jayega Yuñhi Us Namaz Ka Waqt Khatm Ho Jaye to Use Hukm He Ki Dubara Wuzu Kare Ki Uske Haq Me Waqte Namaz Ka Khatm Hona Bhi Naaqize Wuzu He..

Tanweerul Absaar Ma'a Durre Mukhtar Me He,
"وصاحب عذر من به سلس بول لا يمكنه امسا که او استطلاق بطن او انفلات ريح او استحاضة او بعينه رمد او عمش او غرب ، وكذا كل ما يخرج بوجع ولو من اذن وثدى و سرة ان استوعب عذره تمام وقت صلاة مفروضة بان لا يجد في جميع وقتها زمنا يتوضا و يصلى فيه خاليا عن الحدث ولوحكما لان انقطاع اليسير ملحق بالعدم وهذا شرط العذر في حق الابتداء وفي حق البقاء كفى وجوده في جزءمن الوقت ولو مرة وفي حق الزوال يشترط استيعاب الانقطاع تمام الوقت حقيقة لانه الانقطاع الكامل - وحكمه الوضوء لا غسل ثوبه ونحوه الكل فرض اللام للوقت كما فى لدلوك الشمس ثم يصلى به فيه فرضا و نفلا فدخل الواجب بالاولى فاذا خرج الوقت بطل *📚[ شامی ، کتاب الطهارة ، باب الحیض ، ج۱، ص ۵۰۴ تا ۵۰۵، زکریا]*

Sadrushshariyah Allama Ahmad Ali Aazmi Alaihir Rahma Tahreer Farmate Hai,
Har Vo Shakhs Jisko Koi Aysi Bimari He Ki Ek Waqt Pura Aysa Guzar Gaya Ki Wuzu Ke Sath Namaze Farz Ada Na Kar Saka Vo Ma'azoor He or Uska Bhi Yahi Hukm He Ki Waqt Me Wuzu Karle or Aakhri Waqt Tak Jitni Namazeñ Chahe Us Wuzu Se Parhe Us Bimari Se Uska Wuzu Nahiñ Jata Jaise Qatre Ka Marz Ya Dast Aana, Ya Hawa Kharij Hona, Ya Dukhti Aankh Se Paani Girna Ya Phore Ya Nasoor Se Har Waqt Ratoobat Bahna, Ya Kaan, Naaf, Pistan Se Paani Nikalna Ki Ye Sab Bimariyañ Wuzu Todne Waali Hai Unme Jab Pura Ek Waqt Aysa Guzar Gaya Ki Har Chand Koshish Ki Magar Taharat Ke Sath Namaz Na Parh Saka to Uzr Sabit Ho Gaya.
*📚(Bahare Shariyat Mukharraja, Istehaza Ka Bayan, J-1, S-385)*

Is Soorat Me Jo Paani Aankh Se Nikle Vo Najis W Napaak Bhi He Lihaza Ye Paani Kapde Ya Badan Par Ek Dirham Se Zaaid Lag Jaye to Uska Izala Farz He Aysi Najasat Ko Door Kiye Bagair Namaz Sare Se Nahiñ Hogi or Agar Dirham Ke Barabar Ho to Uska Door Karna Wajib He or Is Najasat Ke Sath Namaz to Ho Jayegi Magar Makroohe Tahreemi or Wajibul Ae'aada Hogi or Agar Dirham Se Kam Ho to Namaz Ho Jayegi Magar Khilafe Sunnat W Tarke Awla Aysi Namaz Ka Ae'aada Mustahab He.

Aalamgiri Me He,
"النجاسة ان كانت غليظة وهى اكثر من قدر الدرهم فغسلها فريضة والصلوة بها باطلة وان كانت مقدار الدرهم فغسلها واجب والصلوة معها جائزة وان كانت اقل من الدرهم فغسلها سنة 
*📚(فتاوی عالمگیری ، کتاب الصلوۃ، ج ۱، ص ۱۱۵)*

Sadrushshariyah Allama Amjad Ali Aazmi Alaihir Rahma Tahreer Farmate Hai,
Najasate Galeeza Ka Hukm Ye He Ki Agar Kapde Ya Badan Par Ek Dirham Se Zyada Lag Jaye to Uska Paak Karna Farz He, Be Paak Kiye Namaz Parhli to Hogi Hi Nahiñ or Qasdan Parhi to Gunahgaar Bhi Hoga or Agar Ba Niyyate Istekhfaaf He to Kufr Huva Aur Agar Dirham Ke Barabar He to Paak Karna Wajib He Be Paak Kiye Namaz Parhi to Makroohe Tahreemi He Yaani Aysi Namaz Ka Ae'aada Wajib He or Qasdan Parhi to Gunahgaar Bhi Huva or Agar Dirham Se Kam He to Paak Karna Sunnat He Be Paak Kiye Namaz Ho Gai Magar Khilafe Sunnat Hui or Uska Ae'aada Bahetar He.
*📚(Bahare Shariyat Mukharraja, Najasatoñ Ka Bayan, J-1, S-389)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Mujeeb: Hammad Raza Hanfi Sahab*
*📬Al-Mutakhassis Fil-Fiqhe Al-Hanfi, Imam Ahmad Raza Learning & Research Centre Nashik, Maharashtra*
*🗓️24 Aug 2023, 17 Muharram Ul Haraam1445*

*✅Qadd SahhalJawab, Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab*
*_Abul Akhtar, Hazrat Allama Mufti Mustaq Ahmad Amjadi Sahab Qibla_*
*📬Khadim: Azhari Darul Ifta, Nasik*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts