Masjid Ki Pahli Ya Dusri Manzil Par Imam Ke Liye Hujra Banana Kesa ?

 *_Masjid Ki Pahli Ya Dusri Manzil Par Imam Ke Liye Hujra Banana Kesa ?_*

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Kya Farmate Hai Aulma E Deen W Muftiyane Kiram Is Mas'ala Ke Bare Me Ki, Masjid 2 Manzil Ki He Jis Me Wuzu Khana Nahiñ He, Masjid Ki Pahli Manzil Ke Upar Hujra Banana Kesa He ?
Isi Tarah Masjid Ke Dusri Manzil Ke Upar Hujra Banana Kaisa ?
Jawab Qur'aan W Hadees Ki Roshni Me Inayat Farmayeñ.
Saail: Hafiz Nooruddin, Up

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Soorate Mas'ula Me Masjid Ki Pahli Manzil Ya Dusri Manzil Ke Upar Imaam Sahab Ke Liye Hujra Banana Najaaiz W Mamnoo'a He, Balki Agar Bana Diya Ho to Usko Torna Wajib Ki Ba'ade Tamam Masjidiyat Hudoode Masjid Me Khilafe Masjid Kisi Amal Ki Ijazat Nahiñ Agarche Vo Kaam Masjid Ki Masaaleh Hi Se Hoñ Maslan Wuzu Khana Ya Imam Ke Liye Hujra Wagairah Banana..

Durre Mukhtar Ma'a Tanweerul Absaar Me He,
واذا جعل تحته سردابابالمصالحة اى المسجد جاز كمسجد القدس ولو جعل لغيرها او جعل فوقه بيتا وجعل باب المسجد الى طريق وعزله عن ملكه لا يكون مسجدا ولو بنى فوقه بيتا للامام لا يضر لانه من المصالح اما لو تمت المسجدية ثم اراد البناء منع ولو قال عنيت ذلك لم يصدق تاتر خانية ، فاذا كان هذا فى الواقف فكيف بغيره فيجب هدمه ولو على جدار المسجد وفي حاشيته الشامية: "ظاهره انه لا فرق بين ان يكون البيت للمسجد اولا الا انه يوخذ من التعليل ان محل عدم كونه مسجدا فيما اذالم يكن وقفا على مصالح المسجد وبه صرح في الاسعاف
فقال: واذا كان السرداب او العلو لمصالح المسجد اواکانا وقفا عليه صار مسجدا 
*📚[ شامی، کتاب الوقف ، مطلب فی احکام المسجد، ج ۶، ص ۵۴۷، زکریا ]*

Sadrushshariyah Allama Mufti Amjad Ali Aazmi  Rahematullahi Ta'ala Alaihi Is Ibarat Ki Tarjamaani Yuñ Raqam Farmate Hai,
Masjid Ki Chhat Par Imam Ke Liye Baala Khana Banana Chahta He Agar Qable Tamaame Masjidiyat Ho to Bana Sakta He or Masjid Ho Jane Ke Baad Nahiñ Bana Sakta Agarche Kahta Ho Ki Masjid Hone Ke Pahle Se Meri Niyyat Banane Ki Thi Balki Agar Diware Masjid Par Hujra Banana Chahta Ho to Uski Bhi Ijazat Nahiñ to Dusre Badarja Awla Nahiñ Bana Sakte Agar Is Qism Ki Koi Najaaiz Imarat Chhat Ya Diwar Par Bana Di Gai Ho to Use Gira Dena Wajib He.
*📚(Bahare Shariyat Mukharraja, Masjid Ka Bayan, J-2, S-599 Ta 560)*

Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Quddassirahu Raqam Taraaz Hai,
Masjid Ke Upar Waaqif Ne Tamame Masjidiyat Se Pahle Rahaaish Banadi To Ye Jaaiz He Kyuñ Ki Ye Masaaleh Masjid Se He Albatta Tamame Masjid Ke Baad Ye Jaaiz Nahiñ or Uska Girana Wajib He.
*📚(Fatawa Razviya, J-8, S-505)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍️Mujeeb: Hazrat Muhammad Arif Husain Alghausi Rampuri*
*📬Al-Mutakhassis Filfiqhe Alhanfi, Imam Ahmad Raza learning & Research Centre Nashik, Maharashtra*
*🗓️31 Aug 2023, 13 Safar Ul Muzaffar 1445*

*✅Al-Jawabus Sahih, Wal Mujibun Najeeh, Wahuw Ta'ala Aa'alam*
*Abul Akhtar, Hazrat Allama Mufti Mushtaq Ahmad Amjadi Sahab Qibla*
*📬Khadim: Azhari Darul Ifta, Nashik*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts