*🌹SAWAL:-🌹*
Ek Aurat Ka Talaq Huva Iddat Usne Apne Sasuraal Me Guzari or Jis Ghar Me Talaq Huva Tha Us Ghar Me Bhi Sab Logoñ Ko Maloom Nahi Tha K Falañ Ka Talaaq Huva or Lockdown Bhi Tha Tab Ghar Ke Bado Ne Socha Bahar Kapde Ki Dukan He Agar Dukan Par Soyege Tab Bahar Ghar Sab Logoñ Ko Maloom Ho Jayega Is Liye Ghar Ke Bado Ne Socha Ek Hi Room Me Soyeñ Bas Ehtiyaat Rakheñ, Tab Miya Biwi Ek Hi Room Me Sote Biwi Palang Par Bachchoñ Ke Sath or Uske Shohar Niche Zameen Par Bistar Laga Kar Sote Ehtiyaat Bhi Iddat Tak Rakhiñ...
Is Tarah Ki Iddat Me Kya Hukme Shara'a He Kya Koi Gunah He Bado Ke Liye Kya Hukme Shara'a or Miya Biwi Ke Liye Kya Hukm Hoga ?
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Teen Talaq Se Miyañ Biwi Ajnabi Ho Gaye Aysi Soorat Me Donoñ Ka Ek Kamre Me Rahna Gunah Tha Bado Ko Gunah Se Rokna Zaroori Tha Na Rokne Ki Wajah Se Vo Bhi Gunahgaar Huve Is Liye Sab Taubah Kareñ..
واللہ تعالی اعلم
*✍🏻 Al-jawab: Hazrat Mufti Dilshad Ahmad Ziyai Amjadi Sahab Qibla*
*📬Khadim Sadrushshariyah Darul Ifta W Darul Uloom Raza E Mustafa, Bharuch, Gujarat*
*🗓️27 Feb 2024, 16 Shaban Ul Muazzam 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment