Bachche Ki Khatna Kab Tak Kar Sakte He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم ورحمۃ اللہ وبرکاتہ
Hazrat Logo Mai Aam Hai Bache Ki Katna 3 Saal Chalu Thi Us Saal Nahi Karna Chahiye Kiya Yeh Sahi 
3 Saal K Bad Karna Chahiye 4 Saal Ka Bachcha Howa To Karna Chaye Ya Use Bada Howa Tho 
Hazrat Rehnumayi Farmaye Tafsil  Se

*🌹JAWAB:-🌹*
Khatna Ki Kam Se Kam Umar Ki Koi Had Nahiñ.. Bachche Ke Tahammul W Bardasht Par Munhasir He.. Agar Bachcha Jismaani Aitbaar Se Khatna Ki Takleef Ko Bardasht Kar Sakta He to Khatna Karwana Durust He.. Khwah Bachcha Kitna Hi Chhota Ho.. Or Khatna Ki Intehaai Umar Bara (12) Saal He, Iske Baad Bachcha Maraahiqe Qareebul Buloog Shumar Kiya Jata He, Is Liye Zyada Se Zyada 12 Saal Ki Umar Tak Khatna Karwa Dena Chahiye...

Bahrur Raaiq Me He,
"و فی الخلاصة وأكثر المشايخ على أنه لا اعتبار للسن فيهما،وإنما المعتبر الطاقة-اھ"
Khatna Me Umar Ka Koi Aitebaar Nahiñ Albatta Bachcha Ki Quwwate Bardaasht Ko Malhooz Rakha Jaye...
*📚(Baharhr Raaiq, J-3, S-112)*

Or Raddul Muhtar Me He,
قوله وقيل سبع وإن كان أصغر منه فحسن ، وإن كان فوق ذلك قليلا فلا بأس به-اھ"
Or Usi Me He,
"وآخره اثنتا عشرة اھ"
Yaani Ye Bhi Kaha Gaya He Ki 7 Saal Ki Umar Me Khatna Karwaai Ja Sakti He Taham Bachcha Usse Bhi Kam Umr Ho to Bahetar He or Agar Umar Usse Kuchh Zyada Ho to Harj Nahiñ or Aakhri Umar 12 Saal He.
*📚(Raddul Muhtaar, J-5, S-530, J-2, S-58)*

Moajamul Barkaat Me He,
والصحيح ما قاله ابو حنيفة بانه لا يوقت ولكن ينظر الى حالا لصبي فان كان به من القوة ما يطيق ذلك فانه لا يوخر وما اذا كان ضعيفاً فانه يوخر الى أن يقوى ثم يختن كذا في كنز العباد انتهى
Yaani Sahih Wahi He Jo Imaam Abu Haneefa Rahimahullahi Ta'ala Ne Farmaya Ki Khatna Ka Koi Waqt Muqarrar Nahiñ, Haañ Bachche Ke Haal Ko Dekha Jaye Agar Vo Uski Taqat Rakhta He to Takheer Na Ho Agar Kamzor Ho to Muakhkhar Kiya Jaye Yahañ Tak Ki Taqatwar Ho Jaye.

Lihaza Khatna Qable Bulug Zaroori He Lekin Tajarba Shahid He Ki Jitna Kam Umri Me Khatna Hoga Utna Hi Bachche Ke Liye Faaida Hoga Balki Bahut Se Bachche Pedaishi Taur Par Kamzor or Bimar Hote Hai Khatna Karate Hi Un Ki Kamzori or Bimari Door Ho Jati He Lekin Ye Qaaidah Kulliyah Nahiñ Ke Har Bachche Ke Peda Hote Hi Uska Khatna Kar Diya Jaye Balki Uske Muta'alliq Atba'a or Doctoroñ Se Mashwara Zaroori He.. Is Liye Imame Aazam Ne Khatna Ki Koi Muddat Muqarrar Nahiñ Farmaai..

Or Bahare Shariyat Me He,
Khatna Ki Muddat 7 Saal Se 12 Saal Ki Umar Tak He or Ba'az Aulma Ne Ye Farmaya Ki Wiladat Se Satveñ (7) Din Ke Baad Khatna Karna Jaaiz He.
*📚(Bahare Shariyat, H-16, Khatna Ka Bayan, Mas'ala-1)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️27 Feb 2024, 16 Shaban Ul Muazzam 1445*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts