*🌹SAWAL:-🌹*
Agar Latke Huve Baaloñ Ka Bhi Dhona Zaroori He to Phir Choti Bandh Kar Gusl Karne Ki Rukhsat Ka Faaida Kaise Hasil Hoga ? Bahare Shariyat Ka Ek Mas'ala Me He Aysa ...
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Mas'ala Aap Nahiñ Samjhe, Choti Agar Bandhi Hogi to Aysi Soorat Me Jad Tar Kar Lena Kaafi He. Jo Latakte Baal Gundhe Huve He Jinki Choti Bandhi Hui He Unko Dhone Ki Hajat W Zaroorat Nahiñ He, Lekin Choti Agar Bahut Sakht Gundhi He Ki Jad Tak Paani Na Pahuchega to Is Soorat Me Ab Baaloñ Ko Kholna Zaroori He, Ab Jab Vo Baal Khol Legi to Jad Ke Sath Hi Latakte Baaloñ Ko Bhi Dhona Padega.. Yahi Matlab He Bahare Shariyat Ki Us Ibadat Ka..
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*🎙️Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Muzzammil Barkati Sahab Qibla*
*📬Baani Sadrushshariyah Academy W Sadrul Mudarriseen W Mufti Darul Uloom Anware Madina Khambhaliya, Gujarat*
*🗓️19 March 2024, 8 Ramzanul Mubarak 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment