*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Kya Farmate Hai Aulma E Kiram Is Mas'ala Ke Bare Me, Aurat Ka Gusle Janabat Me Choti Ka Kholna Zaroori He Ya Sirf Baaloñ Ki Jad Ka Tar Kar Kena Kaafi He..
Agar Sirf Jad Tar Karli or Baaqi Choti Ke Baal Jo Latke Huve Hote Hai Un Oar Paani Na Dala Vo Sukhe Hi Chhor Diye to Kya Gusl Ho Gaya ?
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Agar Choti Gundhi Hui Ho To Aurat Par Sirf Baaloñ Ki Jad Tar Kar Lena Zaroori He Kholna Zaroori Nahiñ, Haañ Agar Choti Itni Sakht Gundhi Ho Ki Be Khole Jade Tar Na Hoñgi to Kholna Zaroori He.. Or Agar Gundhi Hui Na Ho Ya Gundhi Hui Thi Or Khol Daali To Baaloñ Ki Jad Se Nok Tak Paani Bahana Zaroori He..
Hadeese Paak Ne He,
Imam Muslim Ne Ummul Muamineen Umme Salama Radiallahu Anha Se Riwayat Ki, Farmati Hai, Mene Arz Ki Ya Rasoolallah ﷺ Me Apne Sar Ki Choti Mazboot Gundhti Huñ to Kya Gusle Janabat Ke Liye Khol Daaluñ ? Farmaya: Nahiñ Tujhko Sirf Yahi Kifayat Karta He Ki Sar Par Teen Lap Paani Daale, Phir Apne Upar Paani Bahale Paak Ho Jayegi. Yaani Jab Ki Baaloñ Ki Jade Tar Ho Jaayeñ or Agar Itni Sakht Gundhi Ho Ki Jadoñ Tak Paani Na Pahunche to Kholna Farz He.
*📚(صحیح مسلم ‘‘ ، کتاب الحیض، باب حکم ضفائر المغتسلۃ، الحدیث : ۳۳۰ ، ص ۱۸۱)*
*📚(Bahare Shariyat, H-2, Gusl Ka Bayan, Hadees-4)*
Sar Ke Baal Gundhe Na Hoñ To Har Baal Par Jad Se Nok Tak Paani Bahna (Zaroori He).. Or Agar Gundhe Hoñ to Mard Par Farz He Ki Unko Khol Kar Jad Se Nok Tak Paani Bahaye or Aurat Par Sirf Jad Tar Kar Lena Zaroori He (Jabki Baal Gundhe Huve Ho) Kholna Zaroori Nahiñ, Haañ Agar Choti Itni Sakht Gundhi Ho Ki Be Khole Jadeñ Tar Na Hoñgi to Kholna Zaroori He (or Jab Choti Khol Li to Jad Se Le Kar Nok Tak Sab Par Paani Bahan Bhi Zaroori Hoga.)..
*📚(Bahare Shariyat, H-2, Gusl Ke Masaail, Mas'ala-3)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓️19 March 2024, 8 Ramzanul Mubarak 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment