Aurat Sahibe Nisab Ho Or Shohar W Saas Sasur Qarz Dara Ho To Zakat Nikal Sakti He ? Ya apne Saas Sasur ko Zakat De Sakti He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Aurat Sahibe Nisab He Par Uska Shohar or Saas Qarz Daar He to Kya Aurat Ko Zakat Nikaalni Padegi Ya Nahiñ ?

Agar Nikaal Ni Pade to Kya Uske Shohar Ya Saas Sasur Ke Qarz Ki Adayegi Ke Liye Unko De Sakti He Ke Nahi ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Aurat Agar Sahibe Nisab Hai Aur Us Par Qarz Nahi Hai to Zaroor Us Par Zakat Farz Hai... Aurat Apne Shohar Ko Zakat Nahi De Sakti.. Albatta Apne Sas Sasur Ko De Sakti Hai...

Jaisa Ki Fatwa Razviya Shareef Me He,
Jab Tumhare (Aurat Ke) Paas Zewar Zakaat Ke Qaabil He or Qarz Tum (Aurat) Par Nahiñ Shohar Par He to Tum (Aurat) Par Zakaat Zaroor Waajib He or Saale Tamaam Par Zewar Ke Siwa Jo Rupya Ya or Zakaat Ki Koi Cheez Tumhari (Aurat Ki) Apni Milk Me Thi Us Par Bhi Zakaat Wajib Hui, Jo Rupya Tumne(Aurat Ne) Bagair Shohar Ke Kahe Bataure Khud Unke Qarza Me De Diya Vo Tunhara Ahsaan Samjha Jayega Uska Mutalba Shohar Se Nahiñ Ho Sakta...

Agar Rupya Aurat Ne Shohar Ko Diya Ki Usse Apna Qarz ada Karlo Or Use De Daalna Maqsood Na Tha To Vo Rupya Aurat Ka Shohar Par Qarz He..

فی العقود الدریۃ عن لسان الحکام دفع الیہ دراھم فقال لہ انفقھا ففعل فھو قرض کما لو قال اصرفھا الٰی حوائجک۔
Uqoodud Daariyah Me Lisaanul Hukkam Se He Ki Agar Kisi Ko Ye Kahte Huve Daraahim Diye Gaye Ki Tum Unheñ Kharch Karo Ab Usne Kharch Kar Liye To Ye Qarz He Jaisa Ki Kaha Ho Ki Tu Use Apni Zarooriyat Me Kharch Kare..
*📚(العقود الدریۃ کتاب الھبۃ حاجی عبدالغفار وپسران تاجر ان کتب ارگ بزار قندھار افغانستان ۲/۹۱)*

Is Soorat Me To Wahi Hukm He Ki Uski Zakaat Aurat Par Saal BaSaal Wajib Jab Tak Nisaab Baaqi Rahe.. Magar Ye Zakaat Dena Usi Waqt Laazim Hoga Jab Shohar Se BaqadreLahu 1/3 Ke Wasool Paaogi... الخ 
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-10, Mas'ala-69)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_🎙Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️17 Feb 2024, 6 Shaban Ul Muazzam 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9184
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts