Kiraye Par Di Hui Dukan W Makaan Ki Zakat Ka Hukm

 *Kiraye Par Di Hui Dukan W Makaan Ki Zakat Ka Hukm*

*🌹SAWAL:-🌹*
Asslamualikum Wa Rahmatulahi Ta'ala Wa Barkatuhu 

Ulema E Kiram Ki Bargah Mei Suwal Hai Ki Agar Zaid Ke Pass Khud Ke Rehne Ke Makan Ke Alwa Bhi Aur Ek Ya Ek Se Zaaieed Makaan Dukaan Ho Lekin Usne 
Bechne Ki Niyaat Se Nahi Kahrida Hai Balki Kiraye Par Diya Hua Hai Toh Kya Unn Dukaan O Makan Ki Qimat Par Zakat Hogi Ya Nahi ? 

Jazakallah Hu Khairan

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jo Dukan Ya Makan Apne Ya Apne Bachcho Ke Istemal Ki Niyyat Se Kharida Ho, Tijarat Ki Niyyat Se Na Kharida Ho Us Ki Qeemat Par Zakat Na Hogi, Albatta Jo Kiraya Aata He Wo Nisab Ko Pahunch Raha He Ya Wo Pehle Se Hi Malik E Nisab He to Kiraya Bhi Uske Maal Me Add Ho Jaega Our Pure Maal Par Zakat Hogi... Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️21 March 2024, 10 Ramzanul Mubarak 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts