*🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم ورحمۃ اللہ وبررکاتہ
1 Peer Sahab Ki Clip Suni Usme Unse Sawal Hua Kya Zannat Me Aulad Bhi Hogi to Javab Me Unho Ne Kaha Ke Ji Ha Pur Duniya Me Jo Taklif E Our Dard Hote Hai Wo Nahi Hoga
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Ji Ye Baat Bilkul Sahih He Ki Agar Jannat Me Koi Momin Awlad Ki Khwahish Karega to Uska Hamal or Waza'a or Puri Umar Yaani 30 Saal Ki Khwahish Karte Hi Ek Saa'at Me Ye Tamam Ki Tamam Khwahishe Puri Ho Jayegi...
Hadees Shareef Me Allah Ke Rasool ﷺ Ne Irshad Farmaya,
المُؤمِنُ إذا اشتَهَى الوَلَدَ في الجنَّةِ، كان حَملُهُ ووضعُهُ وسِنُّهُ في ساعَةٍ كما يَشتَهي
*📚سنن الترمذي (2563)*
Or Aysa Hi *📚Bahare Shariyat, H-1, Jannat Ka Bayan, S-162* Me He..
Haañ Wahañ Par Dard Takleef Darde Zeh Wagairah Kuchh Bhi Na Hoga. Ye Tamam Ka Tamam Ek Hi Saa'at Me Mukammal Ho Jayega..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_🎙 Al-jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️4 Jan 2024, 21 Jamadi Ul Aakhir 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment