Mard Ne Qasam Khai Me Falañ Kaam Karuñ To Tu Mujh Par Haram Or Vo Kaam Kar Liya To Nikah Ka Hukm?

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Ek Aurat Ne Apne Mard Se Qasam Li Aur Us Mard Ne Qasam Khaai Ke "Agar Me Falañ Kaam Karu to Tu Mujh Par Haram" Agar Mard Ne Falañ Kaam Kar Liya to Is Tarah Qasam Khane Par Kya Hukm Hoga ? Kya Isse Nikah Par Koi Asar Hoga ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Shakhs Mazkoor Ka Ye Kahna Ki "Agar Me Falañ Kaam Karuñ To Tu Mujh Par Haram" Ye Talaq Ko Shart Par Muallaq Karna He Lihaza Jab Vo Shart (Yaani Jis Kaam Ke Na Karne Par Us Ne Haram Hone Ko Muallaq Kiya He) Paai Jaayegi To Ek Talaaqe Baain Waqe'a Ho Jayegi Chahe Lafz Haram Se Usne Talaq Ki Niyyat Ki Ho Ya Na Ki Ho...

Bahare Shariyat Me He,
Apni Aurat Se Kaha Tu Mujh Par Haram He to Ek Baain Talaq Hogi Agarche Niyyat Na Ki Ho.
*📚(J-2, H-8, Sareeh Ka Bayan, S-119, Qadri Kitab Ghar)*

Or Jab Usne Vo Kaam Kar Liya To Uski Biwi Par Ek Talaq Baain Waqe'a Ho Gai or Vo Uske Nikah Se Nikal Gai Iddat Guzar Jaane Ke Baad Aurat Ko Ikhtiyar He Jahañ Chahe Nikah Kare or Agar Donoñ Sath Rahna Chaheñ to Naye Mahar Ke Sath Nikah Kar Sakte Hai.
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻 Al-jawab: Hazrat Mufti Dilshad Ahmad Zaiyai Amjadi Sahab Qibla*
*📬Khadim Sadrushshariyah Darul Ifta W Darul Uloom Raza E Mustafa, Bharuch, Gujarat*
*🗓️7 Jan 2024, 24 Jamadi Ul Aakhir 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Dakhile Masjid Or Kharije Masjid Konsa Area He Or Masjid Me Azan Dena Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum Masjid Ka Kon Sa Area Dakhile Masjid He or Kitna Kharije Masjid? Or Kya Azaane Jumaa K Siwa Diger Azan Dakhi...

Popular Posts