Sawalate Qabr Ke Waqt Huzur ﷺ Khud Tashreef Laate He Ya Unki Shabih Dikhai Jaati He ?

 *Sawalate Qabr Ke Waqt Huzur ﷺ Khud Tashreef Laate He Ya Unki Shabih Dikhai Jaati He ?*

*🌹SAWAL:-🌹*
Aehle Ilm Se Mera Saval Ye Tha Ke .
Marneke Baad Kabr Me Jo Momin Hoga Jiske Chere Pe Sunnate Rasul Hogi Ausko Huzur Ki Chere Mubarak Ki Ziyarat Karai Jaaegi ? Ya Fir Farishte Sirf Naam Se Mukhatib Karke Sawal Karenge ? 

Rehnumai Farmaae

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Ahaadis Me Sirf Itna Hi He Ki Nakeerain Ye Sawal Kareñge Ki مَا کُنْتَ تَقُولُ فِيْ ھَذَا الرَّجُلِ Zaahir He Ki Ye Sawal Huzure Aqdas ﷺ Ke Bare Me He or Huzure Aqdas ﷺ Ki Zaate Mushkhas, Muayyin Ho Kar Murde Ko Maloom Hogi. Hadees Me Nahiñ He Ki Ye Ta'ayyin W Tashkhis Kis Tarah Hasil Hoga, Magar Ye Sawal Bahut Aham He Is Liye Shariheene Hadees Ne Iski Teen Tawjeeheñ (Soorte Bayan) Ki He..

Jaisa Ki Shareh Bukhari Hazrat Allama Mufti Shariful Haq Amjadi Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Qabr Me Murde Se Sawal Kis Tarah Hota He Shariheene Hadees Ne Iski Teen Tawjeeheñ (Yaani 3 Soorteñ Bayan) Ki Hai Ek to Ye Ki Gumbade Khazra Tak Ke Sare Hijaabat (Yaani Parde) Utha Diye Jaayeñge or Murda Jamale Jahañ Aara Se Mushrraf Hoga, Ab Nakeerain (Yaani Qabr Me Sawalat Karne Wale Do Farishte Munkar Nakeer) Huzure Aqdas ﷺ Ki Taraf Ishara Karke Puchheñge.

Dusri Tawjeeyah Ye He Ki Huzure Aqdas ﷺ Ki Shabiyah Mubarak Nakeerain Ke Paas Hogi, Uski Taraf Ishara Karke Puchheñge.

Tisri Tawjeeyah Ye He Ki Huzure Aqdas ﷺ Khud Tashreef Laate Hai.
*📚(Fatawa Shareh Bukhari, J-1, S-406)*

Or Imame Ahle Sunnat Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahma Tahreer Farmate Hai,
Iske Ba'ad (Farishte) Sawal Karte Hai, مَا تَقُوْلُ فِی ھٰذَا الرَّجُ Inke Baare Me Kya Kahta He ? Ab Na Ma'aloom Ki Sarkar ﷺ Khud Tashreef Laate Hai Ya Roza E Muqddasa Se Parda Utha Diya Jata He, Shariyat Ne Kuchh Tafseel Na Bataai or Chuñki Imtihan Ka Waqt He Is Liye ھٰذَا النَّبی Na Kaheñge ھٰذَا الرَّجُل Kaheñge.
*📚(Malfoozate Aala Hazrat, S-526, Matbooah Maktabul Madeena Karachi)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️19 Oct 2023, 3 Rabi Us Saani 1445*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts